Hazrat Sayyed Haaji Waariṡs Ali Shaah rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aalam panaah.
************
Aap ki wilaadat 1234 Hijri (1819 A.D.) me Dewa (Uttar Pradesh) me hui.
************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Qurbaan Ali bin Sayyed Salaamat Ali aur waalida ka naam Bibi Sakeena urfe Chandan Bibi binte Sayyed Sher Ali hai.
Aap Husaini saadaat hain.
*********************
Aap ke par-daada Sayyed Abi Taalib Ashraf ibn Sayyed Mahrooq Nishapur (Iran) se Hindustan ke Kuntur (Barabanki) aaye the.
2 saal ki umr me aap ke waalid ka aur phir 3 saal ki umr me aap ki waalida ka inteqaal hua. Is ke baad aap ki daadi Hayaat-un-nisaa ne Aap ki parwarish ki.
Aap ko jab doodh pilaaya jaata to Aap aahista aahista peete aur thoda peene ke baad aap ko sukoon mil jaata.
Aap kabhi rote nahi balke khaamosh rehte the.
Bachpan me bhi Aap sone ki jagah ko najis nahi karte the.
Raat me aasmaan ki taraf dekhte rehte.
Bahot kam sote aur jab jaagte to Aap ke chehre par muskurahat hoti.
Bachpan me Aap khelne ke bajay Lukai Halwai ki dukaan par se meethaai khareedkar bacho ko khilaate aur ghareebo ko khairaat karte rehte.
*********************
5 saal ki umr me Aap ne apne chacha Hazrat Ameer Ali se Qur'ān majeed ki ta’aleem shuru ki aur 7 saal ki umr me aap Haafiz e Qur'ān hue.
Is ke baad Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shaah ne Lucknow me Aap ko mazeed ta’aleem ata farmai.
Aap 11 saal ki umr me Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.
3 saal baad Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shaah ka wisaal hua.
Hazrat Buland Shaah se bhi ta’aleem haasil ki.
*********************
1253 Hijri (1838 A.D.) me pehli martaba Hajj ke liye tashreef le jaane se qabl Aap ne apni tamaam milkiyat raahe khuda me waqf kar di aur apni tamaam kitaaben khaandaan ke ahle ilm ko taqseem kar di.
Hajj ke baad Aap ne sile hue kapde pehanna band kar diya aur hamesha ehraam ki tarah sirf 2 chaadaren [tahaband aur rida) badan par daalte. Aur Aap hamesha nange paanv aur paidal safar karte aur kisi sawaari ka istemaal nahi karte.
*********************
Aap 12 saal tak Arabia, Shaam (Syria), Filistin (Palestine), Iraq (Mesopotamia), Iran, Turkey, Russia aur Germany ka safar karte rahe.
Is dauraan Aap Istanbul (Constantinople) me Sultaan Abdul Majeed se aur Berlin me Prince Bismarck mile.
Is safar ke dauraan Aap ne 10 martaba Hajj e Baitullāh ada kiye.
Hazaaro logo ne Aap ki ta’aleem se hidayat paai aur nek raah apnaai aur hazaaro ne Islaam apnaaya.
**********
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Aap apne mureedo ke saath Bahraich ki taraf jaa rahe the. Raaste me aap ne Ghaghra nadi ko tairkar paar karne chaaha. Ghaghra nadi me sailab ki wajah se bahot ziyada paani tha. Is liye mureed ghabhraye. Magar jab wo aap ke saath nadi me utre to laga ki jaise ghutno tak hi paani hai. Jab baahar aaye to sab ne dekha ki hazrat ke paanvo par mitti ka koi nishaan bhi nahi aur jab maqaam par pahunchne ke baad chattai par pair rakha to paani ka koi nishaan bhi nahi pada.
(2) Ek martaba Hajj ke mauqe par Aap ne dekha ke ghaare Ṡaur me ek budhiya ro rah thi. Puchhne par pata chala ke us ka eklaute bete ke intiqaal ho gaya tha. Aap ne use sabr ki talqeen ki. Us budhiya ne kaha “Is weeraane me sabr kaha lene jaaun. Aap kuchh ilaaj bata do jis se mera beta theek ho jaaye.” Aap ne ladke ke chehre ko kholkar thanda paani chhidak diya. Us ne foran aankhen kholi. Maan apne bete se lipat gai. Aap waha se chal pade aur apne saathiyo se farmaaya “Shaayad is ke bete ko sakta ho gaya tha.”
(3) Ek martaba aap ke ek mureed Maulawi Muhammad Yahyā Waarṡi apni beemaar beti ko chhodkar Patna se aap ki ziyarat ke liye aaye. Dusre din telegram se khabar mili ke ladki ka intiqaal ho gaya hai. Jab Hazrat Waariṡ paak ne yeh khabar suni Aap ne farmaaya “Maulwi saahab! Pareshaan na ho. Shaayad aap ki ladki ko sakta ho gaya ho.” Teesre din phir khabar aai ke who ladki 6 ghante baad phir se zinda ho gai. Tab haazireen ko samajh me aaya ke aap ne kya tasarruf farmaaya tha.
**********
Aap Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke mureedo me Hazrat Sayyed Bedam Shaah Waarṡi, Haaji Abul Hasan Shaah Waarsi (Etawah), Hazrat Kareem Shaah Baaba, Hazrat Haafiz Ahmad Shaah (Agra), Fazihat Shaah, Abdul Ad Shah, Maulana Mohammad Shafi Shaah, Naamdaar Shaah, aur Ghulaam Waaris mash'hoor hain.
**********
Aap ka wisaal 1 Safar 1323 Hijri (6 April 1905 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Dewa shareef (Uttar Pradesh) me hai.
**********
Ek martaba Faiz Ali Raajshaahi kuchh kaam ke sabab Barabanki gaye. Unho ne iraada kiya ke yaha se Dewa shareef nazdeek hsharai to haazri ki sa’adat haasl karunga. Barabanki me khaana khaane me 11 : 00 baj gaye. Logo ne kaha “Waqt bahot zyada ho gaya hai Abhi Dewa shareef jaana munaasib nahi.” Lekin Faiz Ali Raajshaahi ne kaha “Mujhe raat hi me ziyarat karni hai.” Car me sawaar hokar Dewa shareef 12 : 00 baje pahunche. Dekha ki Dargaah shareef ka sadar darwaaza khula hua hai aur nooraani soorat waale ek buzurg tashreef farma hain. Jab un ki qadam boshi ki to unho ne Faiz Ali Raajshaahi ke sar par daste mubarak phera, phir andar le gaye aur paani dekar wuzu karaaya. Dargaah me faatiha khwaani ke baad israar karke khaana khilaaya. Jab ijaazat lekar rukhsat hue to sadar darwaaze tak tashreef laaye. Gaadi me sawaar hone ke baad Faiz Ali Raajshaahi aqeedat wa mohabbat ke saath gaadi se utre aur waapas gaye to dekha ke Sadar darwaaze ke kiwaad band hai aur bada taala laga hua hai. Yeh dekhkar Faiz Ali Raajshaahi ba-adab ulte pairo waapas aaye aur gaadi me sawaar hue aur Meerut waapas aaye.
Jab Sarawa shareef haazir hue to Hazrat Haafiz Sayyed Muhammad Ibrāheem Shaah Qaadri Raajshaahi rahmatullāhi alaihi ne un se kaha “Dewa shareef ka waaqya batao.” Unho ne arz kiya “Huzoor! Jab aap ko mera Dewa shareef jaana ma’aloom hai to waha ke waaqyaat ka bhi ilm zaroor hoga.” Hazrat ne farmaaya “Mujhe to sab kuchh ma’aloom hai lekin aapki zabaan se sunna chaahta hu.” Faiz Ali Raajshaahi ne tamaam waaqya bataaya. Hazrat ne farmaaya “Qot saahab! Dargaah par waqt par jaaya karo. Tum be-waqt gaye, Dargah to band ho chuki thi lekin khud saahibe mazaar Haaji Waaris Ali Shaah ne hamari khaatir Dargaah kholi thi. Aa'inda unko takleef pahunche aisa mat karna.”
**********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
aur Hazrat Sayyed Haaji Waariṡ Ali Shaah rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
(MOHSIN RAZA RAZVI)

2 comments:
Aameen!
Jis Jahaan Nazar Aate Ho Sajde Wahi Karta Hu Isse Nhi Koi Matlab Kaaba Ho Yaa Bhoot khaana...
Az:-BEDAM SHAH WARSI Radiallaahu Ta'ala Anhu
Post a Comment