Monday, 28 December 2020

Hazrat Ja'far Bin Abu Talib Ki Zindagani Mubaraka

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Tayyaar (Flyer), Zul-Janaheen (The Winged), Abul Masaakin.
****************
Aap ki wilaadat 590 A.D. me Makka me hui.
Aap ke waalid ka naam Abu Taalib Imraan ibne Abdul Muttalib aur waalida ka naam Hazrate Faatima bint Asad radiy-Allāhu ta’ala anha hai.
Aap Quraish ke Banu Haashim qabeele se ta’alluq rakhte hain.
Aap Ahle bait ke un afraad me saamil hain jin ki shakl o soorat Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se mushaabeh thi.
**********
Jab qahet ke dauraan Abu Taalib apne bade pariwaar ki wajah se bahot zyada takleef me the tab Hazrate Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Hazrate Ja’afar ko apne paas le liya aur un ki parwarish ki. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ali ko parwarish ke liye apne saath liya.
Aap Islaam ki shuruat me hi Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki daawat par musalman hue. Aap ki biwi Hazrate Asma bint Umays al-Hilaliya radiy-Allāhu ta’ala anha bhi 4 Nabawi (614 A.D.) me musalman hui.
***************
Jab Quraish ne musalmano par shadeed zulm karna aur takleef dena shuru kiya to 3 Nabwi (613 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par musalmano ke ek giroh ne Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat ki. Muhaajireen ke is qaafile me 11 musalman mard aur 4 aurte thi.
Kuchh arse ke baad Musalman Makka waapas aaye to Quraish ne phir se un ko takleef dena shuru kiya.
5 Nabawi (615 A.D.) me jab musalmano ke giroh ne dusri martaba hijrat ki. Is dusre qaafile me Aap ne apni biwi Hazrate Asma bint Umays ke saath Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat ki. Muhaajireen ke is giroh (qaafile) me 87 mard aur 17 aurten thi.
Waha Najaasi baadshaah Ashama ibn Abjar ne musalmano ko panaah di.
Quraish ko jab pata chala to unho ne Amr ibn Aas aur Abdullāh ibn Abi Rabiah ko safeer banakar Habasha bheja. Unho ne waha ke paadriyo se kaha ke “Humare mulk se baaghiyo ke ek giroh ne bhaagkar tumhare mulk me panaah li hai. Un ka deen hamare mazhab se alag hai.” Phir jab baadshaah ke darbaar me gaye to use chamde ke saamaan ka hadiya pesh kiya aur apni baat batai aur musalmano ko waapas dene ke liye kaha. Paadriyo ne bhi un ka saath diya. Magar baadshaah ne kaha “Main sirf tumhari baat sunkar faisla nahi kar sakta. Mujhe musalmano ki bhi baat sunni hogi.”
Jab musalmano ko darbaar me bulaaya gaya aur baadshaah ne un se kaha ke “Yeh kaun sa naya deen hai jis ke liye tum logo ne apni qaum aur un ke deen ko chhod diya hai aur yeh deen humare mazhab aur dusre mazhab se bhi alag hai.”
Musalmano ki taraf se Hazrate Ja’afar bin Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aage aaye aur farmaaya “Hum jahaalat me the aur badkaari aur gumraahi me the. Buto ki pooja karte the, murdaar jaanwar khaate the, gunaah me mubtila the. ALLĀH ta’ala ne apne fazl se ek Rasool bheja jis ne hume ek ALLĀH ki ibaadat karne ki taaleem di, hume sach bolne ki aur apne muamalaat me imaandaari ki taaleem di, rishtedaaro se sila rahemi ki aur padosiyo se husne sulook ki ta’aleem di, haraam se bachne ki aur yateemo ka maal hadap na karne ki ta’aleem di. Hum un par eimaan laaye. Logo ne hum par zulm karke hume in sab ta’aleemaat par amal karne se rokne koshish ki. Is liye hum humara watan chhodkar amaan ki talaash me aap ke mulk me aaye hain.”
Najaasi baadshaah ne puchha “Tumhare Nabi par ALLĀH ki taraf se koi kalaam naazil hua hai.” Hazrate Ja’afar bin Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ne farmaaya “Haan.” Najaasi baadshaah ne kaha “Padhkar sunaao.” Aap ne khush aawaaz me Soorah al-Maryam ki Aayaten tilaawat ki jis me Hazrate Maryam aur Hazrate Eisā alaihis salaam ka bayaan tha. Jise sunkar Baadshaah aur tamaam paadri rone lage yaha tak ke us ki daadhi bhig gai. Phir baadshaah ne kaha “Hum musalmano ko nuqsaan nahi pahuncha sakte.’
Quraishi safeero ne baadshaah se kaha ke “In se puchho ke wo Eisā alaihis salaam ke bare me kya kehte hain?”
Hazrate Ja’afar bin Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ne kaha “Humare Nabi ne farmaaya hai ke Hazrate Eisā alaihis salaam ALLĀH ke bande aur Rasool hain, woh kalimatullāh aur Roohullāh hain jin ko ALLĀH ne Hazrate Maryam ke paak batan se paida farmaaya hai.”
Yeh sunkar baadshaah ne kaha “Khuda ki qasam, Tumhare Nabi ne sahi farmaaya hai, Hazrate Eisā Hazrate Maryam ke bete hain.”
Phir kaha “Tum log be-khauf ho jaao. Tumhe koi nuqsaan nahi pahuncha sakta.” Aur Quraishi safeero ko waapas chale jaane ke liye kaha.
Aap Habasha (Abyssinia) me 12 saal rahe aur aap ke 3 saahabzaade ki wilaadat wahi hui.
***************
Aap Hazrate Sa’ad ibn Abi Waqqaas radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath isha’ate Islaam ke liye safar karke Habasha se Tibet aur Chin ke ilaaqe me tashreef le gaye.
***************
Aap Safar 7 Hijri (June 628 A.D.) me Madeena munawwara tashreef laaye to pata chala ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Islaami fauj ke saath Khaibar tashreef le gaye hain. Aap Khaibar pahunche to pata chala ke musalmano ne Khaibar ko fateh kar liya hai. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se Aap ki mulaaqaat hui to Huzoor ne muhabbat se Aap ki peshaani choomi aur farmaaya ke “Main kuchh tay nahi kar sakta hu ki mujhe Khaibar ki fateh se zyada khushi hui hai ya Ja’afar ke aane se.”
***************
Aap is qadar sakhi the ke ghareebo ko apne ghar le jaate aur jo kuchh hota wo khairaat kar dete, yaha tak ke kai baar to khud ke liye bhi kuchh nahi rakhte.
***************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ka nikaah Hazrate Asma bint Umays se hua.
Aap ke 3 saahabzaade hain :
Abdullāh, Muhammad aur Awn.
***************
7 Hijri (629 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apne sahaaba ko khato ke saath Islaam ki daawat ke liye alag alag mulko ke baadshaah ke paas bheje.
Hazrat Haariṡ bin Umair Azdi radiy-Allāhu ta’ala anhu ko safeer banakar Bosra ke baadshaah ki jaanib bheja. Hazrat Haariṡ bin Umair Azdi jab maqaame Mu’tah par pahunche to waha ke governor Sharjeel Ghassani ne aap ko rokkar shaheed kar diya.
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko pata chala to Aap ne Jamaadi-ul-awwal 8 Hijri (September 629 A.D.) ko Harzte Zaid bin Haariṡa radiy-Allāhu ta’ala anhu ko saalaar banakar 3000 musalmano ka lashkar bheja.
Jab musalman Musharif pahunche to pata chala ke Byzantine aur un ke saathiyo ka lashkar taqreeban 200000 ka hai. Musalmano ne intazaar karne ka aur Madeena se madad mangwane ka mashwara kiya. Magar Hazrate Abdullāh ibn Rawaahah radiy-Allāhu ta’ala anhu ne irshaad farmaaya ke “Musalman baatil se jung karne se ya shaheed hone se darta nahi hai.”
Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu ne pehle kaafiro ko islaam ki daawat di magar wo na maane.
Aakhirkaar maqaame Mu’tah par muslim lashkar ne kaafiro ke saath jung ki.
Jung me Hazrate Zaid bin Haariṡa radiy-Allāhu ta’ala anhu shaheed hue to muslim lashkar ka alam Hazrat Ja’afar bin Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ne thaam liya aur bahaaduri ke saath dushmano ki safo ka safaaya karne lage. Jab Aap ka ghoda jakhmi ho gaya to Aap paidal ladne lage aur Dushmano ne jab har taraf se waar karna Shuru kar diya to pehle aap ka ek baazu kat gaya lekin Aap ne dusre baazu se jhanda thaam liya aur isi tarah ladte rahe. Jab dushmano ne dusra baazu bhi juda kar diya tab Aap ne dono baazuo ke bache hue hisso ko jodkar Alame Islaam ko apne sine se laga liya lekin Alam ko girne na diya. Aakhir usi haalat me Aap ne shahaadat paai.
Aap ki shaahadat ke baad Hazrate Abdullāh ibn Rawaahah radiy-Allāhu ta’ala anhu saalaar e lashkar bane aur woh bhi shaheed ho gaye.
*****************
Aap ka wisaal 5 Jamaadi-ul-awwal 8 Hijri (September 629 A.D.) ko Junge Mu’tah ke dauraan hua.
Aap ka mazaar Mu’tah (Jordan) me hai.
**************
Aap ki is azeem qurbaani ka Rab ta’ala ne ye in’aam ata farmaaya ke Aap ke kate hue baazuo ke badle 2 par ata farmaaye. Chunaanche Aap ‘Tayyaar’ (Flyer) aur ‘Zul-Janaheen’ (The Winged) ke alqaab se mash’hoor hain.
Hazrat Abdullāh ibne Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
“Ek roz hum baargaahe risaalat me haazir the. Achaanak Huzoor sallallāhu ta’ala alaihi wa sallam ne aasmaan ki taraf sar uthaaya aur farmaaya ‘wa alaikumus salaam wa rahmatullāhi wa barkaatuhu’. Logo ne arz kiya ke : Huzoor! Aap ne kis ke salaam ka jawaab diya? Huzoor sallallāhu ta’ala alaihi wa sallam ne farmaaya ke : Abhi mere paas se Ja’afar bin Abi Taalib farishto ke ek giroh ke saath guzre hain aur unho ne mujhe salaam kiya jis ka maine jawaab diya.”
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Ja’afar bin Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
                                 (MOHSIN RAZA RAZVI)

Tuesday, 22 December 2020

Hazrat Shaikh Abu Madyan Shoaib Al Maghribi Ki Zindagani Mubaraka

Hazrat Shaikh Abu Madyan, Shoaib Ansaari al-Maghribi rahmatullāhi alaihi :Aap ki wilaadat 520 Hijri (1126 A.D.) me Seville ke qareeb Cantillana (Andalusia) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Husain al-Ansaari hai.
Aap ka pariwaar bahot ghareeb tha.
Aap bachpan me hi yateem ho gaye.
****************
Bade hokar Aap ne kapde bunne ka kaam sikhkar shuru kiya.
Magar Aap ke bhai Aap ko jaanwar charaane bhejte the. Aap kisi ko tilaawate Qur'ān karte sunte to Aap bahot ranj hota ke kaash main bhi Qur'ān ki tilaawat karna jaanta hota.
Ek martaba Aap ne waha se bhaagne koshish ki magar aap ke bhai ne Aap ko pakad liya aur apna neja aage karke kaha “Agar phir se tum ne bhaagne ki koshish ki to main tumhe jaan se maar dunga.” Kuchh din baad Aap ne dobaara raat ko bhaagne ki koshish ki magar subah hone se pehle aap ke bhai ne Aap ko pakad liya aur talwaar se Aap par hamla kiya. Aap ne khud ko bachaane ke liye ek lakdi uthaai. Jaise hi talwaar us lakdi se takraai to wo talwaar toot gai aur ALLĀH ta’ala ke fazl se Aap mehfooz rahe. Yeh dekhkar Aap ke bhai ne Aap ko chhod diya.
****************
Phir Aap Marrakech gaye aur waha lashkar me shaamil hue aur shaher ki hifaazat ka kaam karne lage.
Magar Aap ko ilm ki aisi talab thi ke Aap ne Qur'ān majeed ki aur deegar bunyaadi ta’aleem haasil ki.
Phir Aap Fes aaye aur Hazrat Abu Yaaza Yalnoor, Hazrat Abul Hasan Ali ibn Harzihim aur Hazrat Abu Abdullāh al-Daqqaq rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Muhammad al-Ghazaali rahmatullāhi alaihi ki kitaabo ki ta’aleem haasil ki.
Aap Hazrat Shaikh Ali ibn Harzihim rahmatullāhi alaihi ki khidmat me rehkar ibaadat wa riyaazat karte rahe.
Phir Aap safar karke Makka mukarrama tashreef laaye. Yaha Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Sayyed Shaikh Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sohbat me rehkar faiz wa ta’aleem haasil ki.
****************
Phir Aap Bejaia (Algeria) tashreef laaye. Aap ne ek khaanqaah ‘Rabitat az-Zayyat’ ta’ameer ki aur ibaadat wa riyaazat karte rahe aur logo ta’aleem wa tadrees karte rahe. Log Aap ki mehfil me wa’az aur taqreer sunne ke liye aur Aap ki baargaah se faiz haasil karne aane lage.
****************
Jab Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Baghdad me farmaaya ke “Qadami haazee hi ala raqabati kulli Waliyillāh ya’ni Mera qadam tamaam Auliya Allāh ki gardano par hai” tab Aap ne Dayaare Maghrib me apni gardan jhuka li aur kehne lage ke “Ilahi! Main tujh ko is baat par gawaah karta hu ke maine un ka qaul suna hai aur un ki itaa’at karta hu.”
****************
Aap Ghauṡ-e-zamaan, Aarif billāh, aur Imaam-ul-Asfiya the.
****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain ke
(1) Soofi ke liye har waqt sirf Mujaahida aur Muraaqaba hi zaroori nahi balke logo se ta’alluq rakhna aur un ko ta’aleem dena bhi zaroori hai.
(2) Nafsaani khwaahisaat aur takabbur roohaani kaamyaabi me rookaawat banti hai. Is ke khilaaf sab se muṡir hathiyaar Nafs ko bhuka rakhna hai. Chunaanche Roza ke zariye nafs kamzor karke kaamyaabi haasil karo.
(3) Gunaahgaar ki Nadaamat Ibaadat guzaar ke Ghuroor se behtar hai.
(4) Insaan ka qalb jab ek simt rooju karta hai to us ke liye dusri tamaam simt par parda ho jaata hai.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Bidaayt-ul-Mureedeen
(2) Uns-ul-Waheed
(3) Tuhfat-ul-Areeb
(4) Deewaan.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek roz Aap dariya ke kinaare par jaa rahe the ke Firangi kaafiro ke giroh ne Aap ko giraftaar kar liya aur ek kashti me bithane lage. Us kashti me kuchh aur Musalman bhi qaidi the. Jab Aap kashti par baithe to kaafiro ne jaane ke liye kashti ke baadhaan (rassiya) khole.
Un logo ne bahot koshish ki magar kashti apni jagah se zarra bhar bhi na hil saki jab ke hawa bahot tez thi. Wo Aap ka martaba jaan gaye. Unho ne Aap ko kashti se utaara aur jaane ke liye kaha. Aap ne farmaaya ke “Jab tak tum log in sab musalmano ko rihaa nahi karoge main hargiz kashti se baahar nahi jaaunga.”
Aakhir kaar un kaafiro ne sab Musalmano ko chhod diya. Us ke baad kashti chalne lagi.
(2) Ek din Aap samundar ke kinaare baithkar wuzu kar rahe the. Aap ki angoothi paani me gir gai. Aap ne bargaahe Rab me dua ki ke “Ya Rab! Meri Angoothi mujhe waapas de de.”
Foran samundar se ek machhli apne munh me Aap ki angoothi lekar zaahir hui. Aap ne us se apni angoothi le li aur machhli waapas paani me chali gai.
****************
Aap Hazrat Shaikh Ali ibn Harzihim rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu, Hazrat Shaikh Abu Saeed Andalusi rahmatullāhi alaihi, Abu Ayyoob ibn Abi Sa'eed al-Sanhaji al-Armuzi, Hazrat Shaikh Abu Abdullāh al-Daqqaq rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap se ‘Maghribi’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Abu Mohammad Saalih al-Majiri rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Mohammad ibn Qaasim al-Tameemi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Abdur Rahmān Attaar az-Zayyaat al-Madani rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Abu Abdullāh Mohammad ibn Harzihim al-Quraishi rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Abdur Razzaaq al-Jazuli rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Malik Baqqiwi Rifa'i rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Yousuf al-Qumi rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Sayyed Jamaal-ud-deen Muhammad bin Ali Ba-Alawi rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ki shohrat badhne lagi to Al-Mohad khalifa Ya’aqoob al-Mansoor ne Aap ko Marrakech apne darbaar me bulaaya. Raaste me Aap beemaar hue aur Yasser nadi ke qareeb inteqaal farmaaya.
****************
Aap ka wisaal 28 Moharram 594 Hijri (10 December 1197 A.D.) me hua.
Aap ka mazaar al-Ubbad, Tlemcen (Algeria) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Abu Madyan, Shoaib al-Maghribi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
    
                                            (MOHSIN RAZVI)

Tuesday, 15 December 2020

Hazrat Meeran Sayyed Ali Datar Ki Zindagani Mubaraka

Hazrat Meeran Sayyed Ali Daataar rahmatullāhi alaihi :


Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Meeran Daataar.
****************
Aap ki wilaadat 29 Ramazaan 879 Hijri (4 August 1426 A.D.) ko Khanpur, Ahmedabad (Gujarat) me hui.
******************
Aap ke waalid ka naam Sayyed Dost Mohammad bin Sayyed Ilm-ud-deen aur waalida ka naam Aa'isha bibi urfe Raasti maa hai.
Aap Husaini saadaat hain aur Hazrat Imaam Sayyed Ali an-Naqi rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
Aap ke daada Bukhara (Uzbekistan) se Lucknow aaye the. Aur phir Sultaan Ahmad Shaah ke saahabzaade Sultaan Mahmood Begada ke zamaane me Ahmedabad (Gujarat) tashreef laaye aur fauj me bharti hue. Sultaan jab zaroorat hoti to Hazrat se mashawara karta.
******************
Aap ki umr jab 10 mahine aur 16 din ki thi tab aap ki waalida ka inteqaal ho gaya.
Ek baar jab Aap bhuk ki wajah se ro rahe the the to Daulat bibi urfe Daama amma ne ALLĀH ta’ala se dua ki ke agar mujhe doodh aa raha hota to main is bache ko pilaati. Foran ALLĀH ke fazl se un ko doodh aana shuru ho gaya aur unho ne Sayyed Ali ko doodh pilaaya. Baad me aap ke waalid Sayyed Dost Mohammad ne Daulat bibi urfe Daama amma se nikaah kiya.
Aap ke waalid ke inteqaal ke baad Aap ke Daada jaan, Daadi amma aur Daulat bibi urfe Daama amma ne Aap ki parwarish ki.
Aap ne Qur'ān aur Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Aap bachpan se hi paband e shariat the aur hamesha sunnat e Rasool par amal karte the.
******************
Mandavgadh (Madhya Pradesh) ka Raaja Mehandi Raj bahot zaalim tha. Us ne apne darbaar me taantriko aur jaadoogaro ko jama kiye the aur apne mahel me ek 15 feet ooncha but banaakar rakha tha. Aur woh be-qasoor logo ko ek qile me qaid karke rakhta tha aur roz ek aadami ka qatl karke us ke khoon se tilak karta tha. Log us ke zulm se tang aa gaye the.
Ek roz ek shakhs kisi tarah qile me se bhaagkar Delhi Sultaan Lodi ke darbaar me pahuncha aur ye sab baaten bataai. Sultaan Lodi ne use tasalli di aur foran ek qaasid ko Gujarat ke Sultaan Mahmood Begada ke paas bheja.
Sultaan Mahmood Begada ko jab yeh khabar mili unho ne foran apne sipaah saalaaro aur afsaro ko bulaakar Mandavgadh par hamle ki tayyaari ki aur ek bahot bade lashkar ke saath Mandavgadh par hamla kiya. Kai saal tak jung karne ka baad bhi un ko Mandavgadh par fateh na mili tab unho ne baargaahe ilāhi me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se dua ki. Sultaan ko khwaab me yeh bashaarat hui ke “Sayyed Ilm-ud-deen ke pote Sayyed Ali ki madad se hi Mandavgadh par fateh mil sakti hai aur wohi Mehandi Raj ko hara sakta hai kyun ki hum ne Sayyed Ali ko Hazrat Ali al-Murtaza ki shuja’at ata farmai hai.”
Sultaan Mahmood Begada ne Sayyed Ilm-ud-deen ko bulaakar ye sab baaten bataai. Unho ne foran Sayyed Ali ko aane ke liye khat likha. Leki Sayyed Ali ko jab khat mila tab aap ki shaadi ki tayyari ho rahi thi. Aap ne foran Sultaan Mehmood Begada ki madad ke liye jaane ki tayyaari ki. Apne pariwaar waalo ko samjhaaya ke “Hum Husaini saadaat hain. Aur mazloomo ko madad karna hamara farz hai.”
******************
Safar ke dauraan Aap Lilapur me thehre aur waha miswaak aur wuzu karke namaaz ada ki. Aap ko ye jagah pasand aai aur dil me yeh khwaahish hui ke agar main jung me shaheed ho jaaun to mujhe is maqaam par dafn kiya jaaye. Aap wuzu ke waqt miswaak karke apni miswaak zameen me gaad di.
Jab Aap Mandavgadh ke qareeb pahunchkar wuquoof kiya to us raat ek tez toofaan aaya. Us me tamaam khaime nikal gaye siwa e aap ke khaime ke. Aap apne khaime me tilaawat e Qur'ān kar rahe the. Sultaan Mahmood Begada ne jab yeh dekha to use yaqeen ho gaya ke in shaa Allāh ab is wali ke sadqe me hum zaroor Mehandi Raj ko hara sakenge.
Phir Aap 125 ghud sawaar aur dusre sipaahiyo ke saath Mandavgadh ke liye rawaana hue. Mandavgadh ke qareeb ek nadi aai to Aap ne ALLĀH ta’ala se Hazrat Moosā alaihis salaam ke waseele se dua ki to ALLĀH ke fazl se nadi me aage jaane ke liye raasta ho gaya.
Aap apne lashkar ke saath Mandavgadh pahunche. Qile ki deewaar bahot oonchi thi to Aap ne ALLĀH ta’ala se dua ki to ALLĀH ke fazl se aap ka ghoda hawa me itna ooncha kooda ke Aap ghode ke saath qile me daakhil ho gaye.
Mehandi Raj ke lashkar ke saath Aap ke lashkar ki jung shuru hui. Aap jung ke dauraan namaaz ada karne ke liye rookte tab bhi koi Aap ko kisi bhi tarah ka nuqsaan nahi kar paata tha. Mehandi Raj ne Aap ko haraane ki bahot koshish ki magar jab woh kaamyaab na ho saka to us ne apne jaadoo se Aap ko haraane ki koshish ki. Is me bhi woh nakaam hua.
Chunaanche Mehandi Raj darkar bhaaga aur Lohaani ghaar me chala gaya. Aap bhi us ka pichha karte hue ghaar me pahunche aur us se jang karne lage. Mehandi Raj ne rote hue muafi maangne ka dikhaawa kiya aur apni talwaar neeche rakh di aur apni choti kaatkar aap ko de di. Aap ne bhi use ek mauqa diya aur apni talwaar miyaan me rakhne lage. Mehandi Raj ne mauqa dekhkar foran talwaar uthaakar Aap par hamla kar diya aur aap ki gardan par waar kiya. Aap jakhmi hokar shahaadat ke qareeb the magar aap ki roohaani taaqat ki wajah se aap ladte rahe aur Mehandi Raj ki ke tukde karke qatl kar diya. Aur Aap bhi shaheed ho gaye.
Is tarah Aap jawaani me mazloomo ki madad ke liye zaalim raja se jung karte hue shaheed ho gaye.
Shahaadat ke baad Aap apne daada Sayyed Ilm-ud-deen ke khwaab me tashreef laaye aur bataaya ke “Hum ne Mandavgadh fateh kar liya hai aur main shaheed ho gaya hu.”
Sayyed Ilm-ud-deen Sultaan Mahmood Begada ke saath Mandavgadh aaye aur aap ke jism paak ko ek sandooq me rakha aur us sandooq ko oont par rakhkar Gujarat ki taraf rawaana hua. Jab qaafila Lilapur (Unava) me pahuncha to woh oontni waha rook gaya. Jab bahot koshish karne ke baad oontni aage na badhi to sab samajh gaye ke yeh wohi maqaam hai jaha Aap ko dafn karna hai. Aap ki wasiyat ke mutaabiq aap ke qadam ki jaanib Mehandi Raj ki choti ko bhi dafn kiya gaya.
Aap ne Mandavgadh jaate waqt jo miswaak gaadi thi us me se ek darakht nikal aaya.
****************
Aap ka wisaal 29 Moharram 897 Hijri (2 December 1491 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.
Aap ka mazaar Unava (Gujarat) me hai.
****************
Aap ka aastaana ek aisa Daar-ush-shifa hai jaha museebatzada ko museebat se najaat milti hai. Badi ta’adaad me log Shareer jinn wa aaseb, jaadoo tona, junoon aur deemaaghi beemaariyo se najaat paane ke liye yaha aate hain aur faiz haasil karte hain.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Meeran Sayyed Ali Daataar rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
        
                                           *MOHSIN RAZVI*

Tuesday, 8 December 2020

Hazrat Sayyed Haaji Waariṡs Ali Shaah rahmatullāhi alaihi zindagani mubaraka

 Hazrat Sayyed Haaji Waariṡs Ali Shaah rahmatullāhi alaihi :




Laqab :

‾‾‾‾‾‾‾‾

Aalam panaah.

************

Aap ki wilaadat 1234 Hijri (1819 A.D.) me Dewa (Uttar Pradesh) me hui.

************

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Qurbaan Ali bin Sayyed Salaamat Ali aur waalida ka naam Bibi Sakeena urfe Chandan Bibi binte Sayyed Sher Ali hai.

Aap Husaini saadaat hain.

*********************

Aap ke par-daada Sayyed Abi Taalib Ashraf ibn Sayyed Mahrooq Nishapur (Iran) se Hindustan ke Kuntur (Barabanki) aaye the.

2 saal ki umr me aap ke waalid ka aur phir 3 saal ki umr me aap ki waalida ka inteqaal hua. Is ke baad aap ki daadi Hayaat-un-nisaa ne Aap ki parwarish ki.

Aap ko jab doodh pilaaya jaata to Aap aahista aahista peete aur thoda peene ke baad aap ko sukoon mil jaata.

Aap kabhi rote nahi balke khaamosh rehte the.

Bachpan me bhi Aap sone ki jagah ko najis nahi karte the.

Raat me aasmaan ki taraf dekhte rehte.

Bahot kam sote aur jab jaagte to Aap ke chehre par muskurahat hoti.

Bachpan me Aap khelne ke bajay Lukai Halwai ki dukaan par se meethaai khareedkar bacho ko khilaate aur ghareebo ko khairaat karte rehte.

*********************

5 saal ki umr me Aap ne apne chacha Hazrat Ameer Ali se Qur'ān majeed ki ta’aleem shuru ki aur 7 saal ki umr me aap Haafiz e Qur'ān hue.

Is ke baad Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shaah ne Lucknow me Aap ko mazeed ta’aleem ata farmai.

Aap 11 saal ki umr me Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.

3 saal baad Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shaah ka wisaal hua.

Hazrat Buland Shaah se bhi ta’aleem haasil ki.

*********************

1253 Hijri (1838 A.D.) me pehli martaba Hajj ke liye tashreef le jaane se qabl Aap ne apni tamaam milkiyat raahe khuda me waqf kar di aur apni tamaam kitaaben khaandaan ke ahle ilm ko taqseem kar di.

Hajj ke baad Aap ne sile hue kapde pehanna band kar diya aur hamesha ehraam ki tarah sirf 2 chaadaren [tahaband aur rida) badan par daalte. Aur Aap hamesha nange paanv aur paidal safar karte aur kisi sawaari ka istemaal nahi karte.

*********************

Aap 12 saal tak Arabia, Shaam (Syria), Filistin (Palestine), Iraq (Mesopotamia), Iran, Turkey, Russia aur Germany ka safar karte rahe.

Is dauraan Aap Istanbul (Constantinople) me Sultaan Abdul Majeed se aur Berlin me Prince Bismarck mile.

Is safar ke dauraan Aap ne 10 martaba Hajj e Baitullāh ada kiye.

Hazaaro logo ne Aap ki ta’aleem se hidayat paai aur nek raah apnaai aur hazaaro ne Islaam apnaaya.

**********

Karaamat :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

(1) Ek baar Aap apne mureedo ke saath Bahraich ki taraf jaa rahe the. Raaste me aap ne Ghaghra nadi ko tairkar paar karne chaaha. Ghaghra nadi me sailab ki wajah se bahot ziyada paani tha. Is liye mureed ghabhraye. Magar jab wo aap ke saath nadi me utre to laga ki jaise ghutno tak hi paani hai. Jab baahar aaye to sab ne dekha ki hazrat ke paanvo par mitti ka koi nishaan bhi nahi aur jab maqaam par pahunchne ke baad chattai par pair rakha to paani ka koi nishaan bhi nahi pada.

(2) Ek martaba Hajj ke mauqe par Aap ne dekha ke ghaare Ṡaur me ek budhiya ro rah thi. Puchhne par pata chala ke us ka eklaute bete ke intiqaal ho gaya tha. Aap ne use sabr ki talqeen ki. Us budhiya ne kaha “Is weeraane me sabr kaha lene jaaun. Aap kuchh ilaaj bata do jis se mera beta theek ho jaaye.” Aap ne ladke ke chehre ko kholkar thanda paani chhidak diya. Us ne foran aankhen kholi. Maan apne bete se lipat gai. Aap waha se chal pade aur apne saathiyo se farmaaya “Shaayad is ke bete ko sakta ho gaya tha.”

(3) Ek martaba aap ke ek mureed Maulawi Muhammad Yahyā Waarṡi apni beemaar beti ko chhodkar Patna se aap ki ziyarat ke liye aaye. Dusre din telegram se khabar mili ke ladki ka intiqaal ho gaya hai. Jab Hazrat Waariṡ paak ne yeh khabar suni Aap ne farmaaya “Maulwi saahab! Pareshaan na ho. Shaayad aap ki ladki ko sakta ho gaya ho.” Teesre din phir khabar aai ke who ladki 6 ghante baad phir se zinda ho gai. Tab haazireen ko samajh me aaya ke aap ne kya tasarruf farmaaya tha.

**********

Aap Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke mureedo me Hazrat Sayyed Bedam Shaah Waarṡi, Haaji Abul Hasan Shaah Waarsi (Etawah), Hazrat Kareem Shaah Baaba, Hazrat Haafiz Ahmad Shaah (Agra), Fazihat Shaah, Abdul Ad Shah, Maulana Mohammad Shafi Shaah, Naamdaar Shaah, aur Ghulaam Waaris mash'hoor hain.

**********

Aap ka wisaal 1 Safar 1323 Hijri (6 April 1905 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Dewa shareef (Uttar Pradesh) me hai.

**********

Ek martaba Faiz Ali Raajshaahi kuchh kaam ke sabab Barabanki gaye. Unho ne iraada kiya ke yaha se Dewa shareef nazdeek hsharai to haazri ki sa’adat haasl karunga. Barabanki me khaana khaane me 11 : 00 baj gaye. Logo ne kaha “Waqt bahot zyada ho gaya hai Abhi Dewa shareef jaana munaasib nahi.” Lekin Faiz Ali Raajshaahi ne kaha “Mujhe raat hi me ziyarat karni hai.” Car me sawaar hokar Dewa shareef 12 : 00 baje pahunche. Dekha ki Dargaah shareef ka sadar darwaaza khula hua hai aur nooraani soorat waale ek buzurg tashreef farma hain. Jab un ki qadam boshi ki to unho ne Faiz Ali Raajshaahi ke sar par daste mubarak phera, phir andar le gaye aur paani dekar wuzu karaaya. Dargaah me faatiha khwaani ke baad israar karke khaana khilaaya. Jab ijaazat lekar rukhsat hue to sadar darwaaze tak tashreef laaye. Gaadi me sawaar hone ke baad Faiz Ali Raajshaahi aqeedat wa mohabbat ke saath gaadi se utre aur waapas gaye to dekha ke Sadar darwaaze ke kiwaad band hai aur bada taala laga hua hai. Yeh dekhkar Faiz Ali Raajshaahi ba-adab ulte pairo waapas aaye aur gaadi me sawaar hue aur Meerut waapas aaye.

Jab Sarawa shareef haazir hue to Hazrat Haafiz Sayyed Muhammad Ibrāheem Shaah Qaadri Raajshaahi rahmatullāhi alaihi ne un se kaha “Dewa shareef ka waaqya batao.” Unho ne arz kiya “Huzoor! Jab aap ko mera Dewa shareef jaana ma’aloom hai to waha ke waaqyaat ka bhi ilm zaroor hoga.” Hazrat ne farmaaya “Mujhe to sab kuchh ma’aloom hai lekin aapki zabaan se sunna chaahta hu.” Faiz Ali Raajshaahi ne tamaam waaqya bataaya. Hazrat ne farmaaya “Qot saahab! Dargaah par waqt par jaaya karo. Tum be-waqt gaye, Dargah to band ho chuki thi lekin khud saahibe mazaar Haaji Waaris Ali Shaah ne hamari khaatir Dargaah kholi thi. Aa'inda unko takleef pahunche aisa mat karna.”

**********

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me

aur Hazrat Sayyed Haaji Waariṡ Ali Shaah rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait aur Auliya Allāh ke waseele se

Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

                                      (MOHSIN RAZA RAZVI)



Saturday, 5 December 2020

Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan RadiAllaho Ta'ala Anhu Ki Zindagani Mubaraka

Aa’la Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aa’la Hazrat, Mujaddid e deen o millat, Imaam e Ahle sunnat, Azeem-ul-barkat, Faazil e Bareilwi.
**********
Aap ki wilaadat 10 Shawwaal 1272 Hijri (14 June 1856 A.D.) ko Bareilly (Uttar Pradesh) me hui.
**********
Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Naqi Ali Khan bin Maulana Raza Ali Khan rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Husaini khaanam binte Asfandar Yaar Beg hai.
Aap Hazrat Malik Qais Abdur Rasheed bin Ays Afghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Hazrat Saeedullāh Khan 1151 Hijri (1739 A.D.) me Naadir Shaah ke saath Hindustan aaye the aur yahi sukoonat pazeer hue the. Sultaan Muhammad Shaah ne un ko lashkar ke saalaar banaaye the.
**********
Aap bachpan se hi bade zaheen the.
Aap ne 4 baras ki umr me Qur'ān majeed mukammal kiya.
Aap ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Aap ne Mirza Ghulaam Qaadir Baig rahmatullāhi alaihi se ‘Meezan e Munsha’ab’ ki ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Shaikh-e-Kabeer Maulana Abdul Ali Rampuri, Hazrat Allama Sayyed Shaah Aale Rasool Marehrawi, Hazrat Allama Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad-e-Noori Marehrawi, Shaikh Ahmad bin Zain-e-Dahlaan Makki, Shaikh Abdur Rahmān Makki aur Shaikh Husain bin Saalih Makki se bhi ta’aleem haasil ki.
**********
Aap ne 6 saal ki umr me Rabi-ul-Awwal me Meelaad e Rasool ke unwaan par shaandar taqreer farmai.
8 saal ki umr me Arabi zabaan me 1 kitaab likhi.
14 Sha’abaan 1286 Hijri ko 13 baras 10 maah ki umr me pehla Fatawa likha aur Dastaar e Fazeelat ata ki gai.
**********
Bachpan me Aap ne Maah e Ramazaan me roza rakha. Bahot garmi hone ki wajah se aur aap par abhi roza farz nahi tha is liye aap ke waalid aap ko ek kamre ke andar le gaye aur kamra band karke meethai di aur kaha “Ise khaa lo”. Aap ne kaha “Maine roza rakha hai.” Aap ke waalid ne kaha “Darwaaza band hai, Koi nahi dekhega. Tum khaa lo. Tum abhi bache ho.” Aap ne kaha “Bhale koi na dekh raha ho. Magar mera Rab jis ke liye maine roza rakha hai woh to dekh raha hai.”
**********
1291 Hijri (1874 A.D.) me 18 saal ki umr me Aap ka nikaah Sayyeda Irshaad Begum bint Shaikh Fazle Husain se hua.
Aap ke 3 saahabzaade aur 5 saahabzaadiya hain.
Saahabzaade :
(1) Haamid Raza Khan urfe Hujjat-ul-Islaam
(2) Muhammad Mahmood Raza Khan (Jin ka intiqaal 5 mahine ki umr me hua)
(3) Mustafa Raza Khan urfe Mufti e Aazam e Hind.
Saahabzaadiya :
(1) Mustafa'i Begum
(2) Kaneez Hasan
(3) Kaneez Husain
(4) Kaneez Hasnain
(5) Murtaza'i Begum.
**********
1294 Hijri (1877 A.D.) me Hazrat Maulana Abdul Qaadir Badayuni rahmatullāhi alaihi Bareilly Shareef aaye aur Aap un ki daawat se un ke saath Marehra shareef gaye. Jab waha pahunche to Aap ne farmaaya “Mujhe mere peer ki khushbu aa rahi hai.” Jab Aap Khaanqaah-e-Bar
kaatiya me pahunche to Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Barkaati Marherawi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko dekhkar farmaaya “Aao. Main kab se tumhara intazaar kar raha tha.”
Aap bai'at karke Hazrat ke mureed ho gaye. Bai'at ke baad Hazrat ne foran Aap ko ijaazat wa khilaafat ata farmai.
Hazrat Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati ne arz kiya “Huzoor! Aaj maamool ke barkhilaaf is naujawaan ko Ijaazat wa Khilaafat se nawaaza gaya? Yaha mureed hokar khilaafat haasil karne ke liye aane waalo ko pehle mujaahida karna padta hai. Jab wo us darje par pahunch jaata hai tab hi use khilaafat aur ijaazat milti hai.”
Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool rahmatullāhi alaihi ne foran kaha ke “Miya saahab! Log zang aalood dil lekar aate hai, jinko saaf karne ke liye un se Riyaazat wa Mujaahida karaaya jaata hai. Yeh naujavaan saaf suthra dil lekar hamaare paas aaya tha, jis ki safaai ki zaroorat nahi thi, sirf nisbat darkaar thi. Woh Bai'at se haasil ho gai. Is liye maine riyaazat wa mujaahida ke baghair Khilaafat wa ijaazat de di.”
Phir farmaaya “Qayaamat Me jab main Rab ta’ala ke Huzoor khada rahunga aur woh mujhe puchhega ki tum apne saath kya laaye ho to main kahunga ki : Aye mere Rab tera ata kiya hua Ahmad Raza lekar aaya hu.”
**********
Aap ne 2 baar Hajj ada kiye :
(1) 1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid Maulana Naqi Ali Khan ke saath,
Aur (2) 1323 Hijri (1906 A.D.) me apne biraadar Maulana Hasan Raza Khan aur saaahabzaade Haamid Raza Khan aur Mustafa Raza Khan ke saath.
**********
Aap ko Sunnat o hadeeṡ par mukammal yaqeen tha aur har amal Sunnat o hadeeṡ ke mutaabiq hi karte the.
Aap hamesha ba-jama’at namaaz ada karta.
Aap farmaate hain ke “Wali ki asl karaamat ye hai ke wo hamesha nek aur parhezgaar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai.”
(1) Ek baar ye afwah phaili ke Bareilly Shareef me Taa'oon (Plague) phaila hai. Ittefaaq se Aa’la Hazrat ko masoodo me soojan ho gaya aur dard itna shadeed tha ke aap ka munh bhi khul nahi pata tha aur tez bukhaar bhi tha. Jab doctor ko bulaaya gaya to us ne jaanch karne ka baad kaha ke “Aap ko Plague hone ka andesha hai.” To aap ne kaha ke “Yeh mumkin nahi hai. Kyun ki Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ek dua batai hai aur farmaaya hai ke jab koi badi beemaari phailne ki khabar suno to is dua ko padh lena. In shaa Allāh hifaazat ho jaayegi. Aur maine is masnoon dua ko padh liya hai.”
Phir aap ne farmaaya “Aye ALLĀH! Tere Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan ko sahi ṡaabit kar de.”
Itne me aap ne ghaib se ek aawaaz suni ke “Miswaak aur kaali mirch istemaal karo.”
Aap ne takleef bardaasht karte hue bhi miswaak kiya aur apne munh me kaali mirch ke daane rakhe. Aisa karne se ALLĀH ke karam se aap ki takleef kam hone lagi aur aap me phir se taaqat aane lagi.
Aur is tarah us doctor ko maanna pada ke us ki tashkees (diagnosis) galat thi.
(2) Aap 1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid ke saath hajj ke liye gaye. Hajj ke safar me jahaaz se waapas aate waqt samundar me toofan shuru ho gaya. Jahaaz ke kaptan ne aakar kaha ke “Toofaan itna tez hai ke shaayad ham nahi bach sakte.”
Yeh sunkar aap ke waalid ne kaha ke “Aye mere bete! Mujhe mujh se zyada tumhari fikr hai.”
Aap ne farmaaya ke “Hume kuchh nahi ho sakta kyun ke maine jahaaz par sawaar hote hi bahri sawaari (safar) ki masnoon dua padh li thi aur mujhe yaqeen hai ke mere Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ka farmaan hamesha sahi hota hai. Is liye hamare jahaaz ko kuchh bhi nahi hoga.”
Thodi der me toofaan ruk gaya aur kaptan ne aakar kaha ke “Ab hamare jahaaz ko koi khatra nahi hai.”
**********
Aap ne apne har amal se Huzoore akram Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aur Aale rasool ke mukammal ishq ka saboot diya.
(1) Ek baar aap Paalki me bethkar Bareilly Shareef ke bazaar se guzar rahe the. Aap ne Paalki uthaane walo ko doli rokne ke liye kaha aur puchha “Aap me se saadaat kaun hai?” Kisi ne jawaab nahi diya. Aap ne phir se ilteja karte hua ke “Meharbani karke bata do ke aap me kaun saadaat hai. Mujhe aale rasool ki khushboo aa rahi hai.”
Tab ek hazrat ne kaha “Main Aale rasool hu. Ghareebi aur majboori ki wajah se main doli uthaane ka kaam kar raha hu.”
Aap ne foran haath chumkar kaha ke “Mujhe muaf kar dena.”
Phir Aap ne us sayyedzaade ko doli me bithaaya aur khud un ki jagah par doli uthaakar chalne lage.
(2) A’ala Hazrat ko Hazrat Sayyed Shaah Mahedi miyan Barkaati se bahot mohabbat thi aur aap un ki bahot ta’azeem karte the. Hazrat ko baadi aur bawaasir ki takleef thi. Un ke ek mureed Hajj karke Marehra shareef aaye. Apne Peer ki takleef sunkar unho ne is ke ilaaj ek taambe ka chhalla (angoothi) diya. Hazrat Shaah Mahedi miyan ko bahot zyada takleef thi. Is liye aap ne wo chhalla apne ungli me pehan liya. Ittifaq se A’ala Hazrat un dino me Marehra shareef tashreef laaye aur Hazrat Shaah Mahedi miyan ke ghar par qayaam kiya. Aap ne dekha ke Hazrat ne apni ungli me taambe ka chhalla pehna hai. Aap ne socha ke Hazrat ko kis tarah batau ke ye chhalla pehnna khilaaf e shariat hai kyun ke Sayyedzaade ke adab ka muamala hai. Aap ne ek tarkeeb ki aur Hazrat se arz kiya “Huzoor! Mujhe baadi ki takleef ka koi ilaaj bataaiye.” Hazrat ne foran apni ungli me se woh chhalla utarkar aap ko diya aur kaha “Hamare ek mureed ne Madeena munawwara se yeh chhalla laakar is beemaari ke ilaaj ke liye mujhe diya hai. Tum ise le lo.” Aap ne adab ke saath us chhalle ko le liya aur Peerzaade ko is khilaaf e shariat kaam se rok diya aur un ko ehsaas bhi nahi hone diya.
(3) Ek martaba Khaanqaahe Barkaatiya ke Sajjaada nasheen saahab ne ghar ki rakhwaali ke liye do kutto ki farma'ish ki. Aap ne ba-adab jawaab diya ki “Faqeer jaldi do kutte haazire khidmat kar dega.” Phir Bareilly se apne dono saahabzaado ko Khaanqaahe Aaliya Barkaatiya me laaye aur Sajjaada nasheen saahab se arz kiya “Huzoor! Ye saara din kaam-kaaj bhi karenge aur raat ko rakhwaali bhi karenge.”
***********
Karamaat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Aap Rail se Pilibhit se Bareily ja rahe the. Raaste me Nawabganj station par train 1-2 minute ke liye ruki. Maghrib ka waqt ho chuka tha. Aap apne saathiyon ke saath namaaz ke liye platform par utre. Saathi pareshaan the ki train chali jaayegi to kya hoga. Lekin aap ne itminaan se Azaan dilwakar ba-jama’at namaaz shuru kar di.
Udhar Driver train ka engine chalu karta hai lekin train nahi chalti. Engine uchalta aur phir patri par girta hai. T .T, Station Master, wagairah sab log jama ho gaye. Driver ne bataya ki engine me koi kharaabi nahi hai.
Achanak ek Pandit chikh utha “Woh dekho koi durwesh Namaaz padh raha hai, shaayad train isi wajah se nahi chalti?” Yeh sunkar log Aa’la Hazrat ke ird gird jama ho gaya.
Aap itminaan se namaaz mukammal karke jaise hi apne saathiyo ke saath Rail me sawaar hue to Rail chalu ho gai aur aage badhi.
(2) Bareilly Shareef me ek shakhs Auliya, Peer o Murshid aur bai'at me nahi maanta tha. Us ka ek dost Aa’la Hazrat se milne ke liye jaa raha tha. Us ne us shakhs se kaha ke “Tum mere saath Aa’la Hazrat se milne chalo aur waha un se is baare me mubaahisa kar lena.” Woh yeh baat kar raha tha ke us shakhs ne ek dukaan me taazi mithai dekhi. Us ne kaha ke “Pehle ye mithaai lete hain, Phir main tumhare saath chalta hu.”’ Us ne kaha ke “Aa’la Hazrat milne ke baad waapas aate waqt raaste me yaha se mithaai le lenge.” Bahot samjhaane par woh maana.
Aur dono Aa’la Hazrat ki baargaah me gaye. Dono waha baithe the, itne me ek mureed kuchh mithai lekar aaya aur waha haazir sab ko taqseem karne ke liye kaha.
Aa’la Hazrat ke darbaar me ye tareeqa tha ke jin ki daadhi hoti un ko do hisse diye jaate aur baghair daadhi wale ko ek hissa diya jaata kyun ki wo bache jaise lagte hain.
Chunaanche jo mureed taqseem karne ke liye khada hua wo isi tarah sab ko de raha tha.
Jab us shakhs ki baari aai to woh mureed use ek hissa de raha tha. Tab Aa’la Hazrat ne use do hisse dene ke liye kaha. To us mureed ne kaha “Hazrat! Is ki daadhi nahi hai.”
Aa’la Hazrat ne farmaaya “Us ko do hisse khaane ki khwaahish hai.”
Us shakhs ne jab yeh suna to use pata chal gaya ke Aa’la Hazrat ko us ke dil ki khwaahish bhi khabar ho gai hai. Woh sharminda hua aur Aa’la Hazrat ka mureed ho gaya.
**********
Ek baar kisi ne khat me Aap ke naam ke saath ‘Haafiz’ likh diya. Yeh khat Aap ko 29 Sha’abaan ko mila. Aap ne jab padha to socha ke main haafiz e Qur'ān nahi hu. Is liye mujhe Haafiz kehna sahi nahi. Magar main jald hi Haafiz e Qur'ān ban jaaunga.
Phir maah e Ramazaan me ishaa ke waqt me azaan aur namaaz ke dauraan Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi rahmatullāhi alaihi Aap ko Qur'ān majeed ka ek paara padhkar sunaate aur Aap us ko namaaz e taraaweeh me Qir’at me padhte. Aur is tarah Ramazaan ke khatm hone tak aap Haafiz e Qur'ān ho gaye.
**********
Log agar kisi mas'ale ke liye talaash karte to Aa’la Hazrat baghair kitaab dekhe safah number ke saath us ka jawaab dete.
*****************
Ilme Falkiyat o Taqweem (Astronomy) me Aap ko itni mahaarat thi ke Aap din ko sooraj ko dekhkar aur raat me sitaara ko dekhkar ghadi me waqt mila lete aur 1 minute ka bhi farq na hota.
*****************
Aligarh University ke Vice Chancellor Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ko Ilme Riyaazi ke ek aham mas'ale ka hal nahi mil raha tha. Bahot saare University me mas'ala bheja magar jawaab nahi mila. Aakhirkaar ye tay kiya ke Germany jaakar is mas'ale ka jawaab haasil kiya jaaye. Jab Hazrat Sayyed Sulaimān Ashraf Bihari ko is baat ka pata chala to unho ne Bareilly jaaakar Aala Hazrat se milne ka mashwara diya. Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ne kaha “Woh to Maulwi hain aur deeni masail ke baare me jaankaari rakhte honge. Is masale ka hal unhe kaise pata hoga?” Sayyed Sulaimān Ashraf ne kaha ke “Bareilly nazdeek hi to hai. German jaane se pehle ek baar Aala Hazrat se mil to lijiye.” Bahot israar karne par Dr. Zia-ud-deen Ahmad Bareilly jaane ke liye tayyaar hue. Sayyed Sulaimān Ashraf ne Aala Hazrat ko paighaam bhej diya ke “Agar Dr. Zia-ud-deen Ahmad suit aur tie pehankar aaye to kuchh kehna nahi. Pehle un se baat kar lena.”
Dopahar ko Aligarh se nikle aur Bareilly pahunche to asr ki azaan ho chuki thi. Aala Hazrat wuzu ke liye tayyaari kar rahe the. Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ko dekhkar puchha “Aaiye, Kya baat hai?” Unho ne kaha “Bada aham mas'ala hai. Aap pehle namaaz padh len. Us ke baad aaraam se baat karte hain.” Aala Hazrat ne farmaaya “Bataiye to sahi.” Unho ne apna masala bataaya. Jaise us ki baat puri hui foran Aala Hazrat ne us ka jawaab de diya. Jawaab sunkar unhe bahot ta’ajjub hua. Sochne lage ke “Main is ke hal ke liye pure Hindustan me kai jagah par raabat kar chuka hu aur inho ne mas'ala sunkar foran tasalli bakhsh jawaab de diya.”
Jab Aala Hazrat namaaz ada karke aaye us ne mazeed sawaal kiye aur jawaab sunte sunte aankho se aansoo jaari ho gaye aur kehne laga ke “Ilme ladunni ke baare me suna tha, aaj dekh bhi liya.” Aur un ki zindagi me tabdeeli aa gai. Namaaz ke paaband ho gaye.
*****************
1301 Hijri (1882 A.D.) me Pilibhit me Madrasa Daar-ul-Hadeeṡ ke bunyaadi jalse me Hindustan ke bahot saare mash'hoor mohaddeeṡeen aur ulama tashree laaye the aur A’ala Hazrat rahmatullāhi alaihi ke mubarak haatho se Madrasa ki sange bunyaad rakhi gai aur Aap ne lagaatar 3 ghante tak Ilm e Hadeeṡ, Usool e Hadeeṡ aur is se muta’alliq mozu par shaandaar taqreer farmaai.
*****************
Aap Imaam e Ahle sunnat aur 14wi sadi ke Mujaddid e Islaam hain.
1317 Hijri (1900 A.D.) me Patna me Ahle Sunnat wal Jama’at ke ijtema ke dauraan Hazrat Maulana Abdul Muqtadir Badayuni rahmatullāhi alaihi ne Aala Hazrat ko ‘Mujaddid’ kehkar khitaab kiya.
Is ke ilaawa Shaikh Ismā'eel bin Khaleel aur Shaikh Moosā Ali Shaami rahmatullāhi alaihi aur dusre arab wa ajam ke ulama ne Aap ko Mujaddid kaha hai.
**********
Aap ne apni kitaabo aur taqreero me bahot saari buri bid'ato ko radd kiya hai.

Jab Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani ne Imaam Mahdi hone ka aur phir Nabi hone ka daawa kiya tab Aap ne 1323 Hijri (1906 A.D.) me Hajj ke liye gaye to ‘Al-Motamad Al-Mustanad’ naam se ek tehreeri ṡaboot (Document) tayyaar karke Makka aur Madeena ke ulama ko pesh kiya aur phir Hejaaz ke 33 ulama ki raay aur faisla jama karke Arabi me ‘Husaam-ul-Harmain’ naami kitaab tayyaar ki jis me Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani ke Sath Sath Rasheed Ahmed Gangohi Qasim Nanotvi Khaleel Ahmed Ambethvi aur Ashraf Ali Thanvi Deobandi Wagairah ke kaafir wa Murtad hone ke ṡaboot diye gaye hain.
**********
Aap ne Wahaabi aur Deobandi ke Huzoor Ashraf-ul-Ambiya Khair-ul-Bashar Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki gustaakhi bhare bad-aqeedo ko radd karte hue ṡaboot pesh kiye.
(1) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam Insaan-e-kaamil hone ke saath noor bhi hain.
(2) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko ALLĀH ta’ala ne Mukhtaar-ulkul banaaya hai.
(3) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam Haazir wa naazir hain.
(4) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko ALLĀH ta’ala ne Ilm e ghaib ata kiya hai.
(5) ALLĀH ta’ala ne apne Ambiya, Auliya aur Shohada ko wisaal ke baad bhi Aalam e baqa me hamesha ki zindagi ata farmai hai.
(6) ALLĀH ta’ala ke muqarrab bande ya’ani Ambiya, Auliya, Shohada, Ahle bait aur Saaliheen ka waseela lena jaa'iz hai.
1323 Hijri (1906 A.D.) me jab Aap dusri baar Hajj ke liye gaye the to Makka me sirf 8 ghante me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Ilm e ghaib ke ṡaboot par ‘Ad-Daulatul Makkiyah’ naam ki kitaab likhi. Jise padhkar Arab ke ulama ne Aap ko Imaam maana.
**********
Tehreek e Khilaafat ke dauraan Mohandas Gandhi ko kisi ne Ahmad Raza Khan se milne ka mashwara diya. Jab Aap ko bataya gaya ke Gandhi aap se milna chahte hain to aap ne farmaaya ke “Woh kis baare me guftagoo karna chahte hain? Deeni ya Dunyawi? Agar dunyaawi muamale me guftaguoo karna chaahte hain to main un se nahi mil sakta. Mujhe dunyaawi baato me dilchaspi nahi hai.”
***********
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1330 Hijri (1912 A.D.) me Aap ne ‘Kanz-ul -Eimaan fee Tarjuma al-Qur'ān’ naam se Qur'ān majeed ka Urdu tarjuma kiya hai.
Aap ne bahot saari mash'hoor Hamd e baari ta’ala, Na’at e Mustafa, Manqabat aur Munaajaat likhi hain.
Aap ne 55 se zyada uloom par taqreeban 1000 kitaaben likhi hain.
Un me se kuchh mash'hoor kitaaben :
(1) Fataawa Razawiya (12 Jild)
(2) Ahkaam e Shariat
(3) Husaam-ul-Harmain
(4) Fataawa Harmain
(5) Ad-Daulat-ul-Makkiya
(6) Al-Fuyuzaat-ul-Makkiya
(7) Az-Zubdat-uz-Zakiyya
(8) Al-Ijaazat-ul-Mateena
(9) Kifl-ul-Faqeeh
(10) Aalil Ifaada Fee
11) Taaziyatil Hind wa Bayaane Shahaadat.
12)AlKokabutul Shahabiyah Fee Kufriyaat E Abil Wahabiya
13)Alistimdaad
14)Subhan Al-Subbooh
Wagairah Qabil E Zikr hai
***********
1322 Hijri (1904 A.D.) me Aap ne Jaamia Razawia Manzar e Islaam ki ta’ameer ki.
Aap ke mash'hoor shaagird :
Aap ke 2 saahabzaade Hujjat-ul-Islaam Haamid Raza Khan aur Mufti e Aazam e Hind Mustafa Raza Khan, Ustaad-e-Zamaan Maulana Hasan Raza Khan, Sadr-ush-Shariah Amjad Ali Aazami, Sadr-ul-Afaazil Maulana Sayyed Naeem-ud-deen Muradabadi, Mohaddeeṡ-e-aaz
am-e-Hind Sayyed Muhammad Ashrafi Kachhauchhawi, Malik-ul-Ulama Zafar-ud-deen Bihari, Qutb-e-Madeena Zia-ud-deen Ahmad al-Madani, Allama Mufti Burhaan-ul-Haq Jabalpuri Sher Besha e Ahle Sunnat Maulana Hashmat Ali Khan رضوان اللّٰہ علیہم اجمعین Hai
***********
Ramazaan 1339 Hijri me Aap shadeed beemaar aur kamzor the. Bareilly Shareef me sakht garmi thi. Shariat me shaikhe faani ko ijaazat hai ki roza na rakh sake to fidiya de aur naatwa mareez ko ijaazat hai ki qaza kare. Lekin Aap ne farmaaya ki “Barielly me shiddate garmi ke sabab mere liye roza rakhna mumkin nahi lekin pahaad par thandak hoti hai yaha se Nainitaal qareeb hai. Muwali pahaad par roza rakha jaa sakta hai. Main waha jaane par qaadir hu.” Chunaanche maahe Ramadaan Aap ne wahi guzaara aur pure roze rakhe.
Kamzori ke sabab Aap chalkar masjid tak nahi jaa sakte the magar chaar aadami Aap ko kursi par bitha kar masjid tak pahuchaate aur isi tarah ba-jama’at namaaz ada karte rahe.
***********
Aap ke wisaal ke kuchh waqt pehle Shaam (Syria) ke kisi Wali ne Bait-ul-Muqaddas me khwaab me dekha ke Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki mehfil me aap ke aas-paas kuchh As'Haab baithe hai jaise wo kisi ka intazaar kar rahe the.
Unho ne puchha “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Aap kis ka intazaar kar rahe hain?”
Aap ne farmaaya ke “Ahmad Raza Khan.”
Unho ne puchha “Ahmad Raza Khan kaun hain?”
Aap ne farmaaya ke “Hindustan ke Bareilly ka ek aalim.”
Jab un ki aankh khuli to foran Syria se Bareilly aane ke liye nikal pade. Lekin jab woh waha pahunche to pata chala ke Imaam Ahmad Raza Khan ka inteqaal ho chuka tha.
***********
Wisaal se pehle Aap ne naseehat farmai ke “Jis se ALLĀH aur us ke Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ki shaan me adna tauheen bhi paao us se foran juda ho jaao chaahe woh tumhe kaisa bhi pyara ho. Jis ne ise maana us ke liye roze qayaamat noor aur najaat hai aur jis ne na maana us ke liye zulmat aur halaakat hai.”
***********
25 Safar Jum'aa ke roz dopahar 12 baje Aap ne Hazrat Hujjat-ul-Islaam ko Soorah Ra’ad tilaawat karne ke liye farmaaya aur bade itminaan aur ghaur se sunte rahe, phir Soorah Yāseen shareef ki tilaawat suni.
Apne wisaal ke 42 minute pehle Aap ne farmaaya “Mere kamre se paisa, lifaafa, card wagairah hata do kyun ki us par tasweer bani hoti hai.”
2 baje paani talab farmaaya. Paani pee kar Kalma e Tayyaba padhne lage. Kuchh der ke baad sirf isme jalaalat [ALLĀH] ka wird farmaaya.
Aap ne wisaal se pehle wasiyat ki thi ke “Meri namaaz e janaaza Maulana Haamid Raza Khan ya Allama Amjad Ali Aazami padhayen aur mere janaaza ko 'Ka’abe ke Badr ud Duja' padhte hue le jaayen aur meri qabr ko itni gehri banaana jitni meri unchaai hai.”
***********
Aap Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Ahmadi Barkaati Marehrawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Qaadri Razawi’ Silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Hujjat-ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Mufti-e-aazam-e-Hind Maulana Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Ustaad-e-Zamaan Maulana Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Maulana Mufti Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Sadr-ul-Afaazil Allama Maulana Sayyed Naeem-ud-deen Muraadabadi rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Qutb-ul-Madeena Allama Shaikh Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Malik-ul-Ulama Allama Maulana Sayyed Zafar-ud-deen Bihari rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Burhaan-e-Millat Allama Burhaan-ul-Haq Jabalpuri rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Allama Maulana Abdus Salaam Jabalpuri rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Sher Besha e Ahle Sunnat Allama Maulana Hashmat Ali Khan rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Mubbaligh-e-aazam Allama Maulana Shaah Abdul Aleem Siddeeqi Meeruti rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Allama Maulana Mukhtaar Ahmad Siddeeqi Meeruti rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Sultaan-ul-waa'izeen Maulana Abdul Ahad Mohaddeeṡ Pilibhiti rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Raees-ul-Muhaqqiqeen Maulana Sayyed Shaah Sulaimān Ashraf Bihari rahmatullāhi alaihi
(15) Hazrat Allama Mufti Sayyed Deedaar Ali Shaah Mohaddeeṡ Alwari rahmatullāhi alaihi
(16) Hazrat Allama Mufti Sayyed Abul Hasanaat Muhammad Ahmad Qaadri rahmatullāhi alaihi
(17) Hazrat Maulana Jameel-e-Qaadri rahmatullāhi alaihi
(18) Hazrat Maulana Sayyed Ahmad Ashraf rahmatullāhi alaihi
(19) Hazrat Shaikh Muhammad Abdul Hayy rahmatullāhi alaihi
(20) Hazrat Shaikh Ahmad Khaleel rahmatullāhi alaihi
(21) Hazrat Shaikh Ahmad Khudrawi rahmatullāhi alaihi
(22) Hazrat Shaikh Muhammad bin Abi Bakr rahmatullāhi alaihi
(23) Hazrat Shaikh Muhammad Saeed rahmatullāhi alaihi
(24) Hazrat Maulana Mufti Mahmood Jaan rahmatullāhi alaihi
(25) Hazrat Budh Shaah Baaba rahmatullāhi alaihi.
***********
Aap ka wisaal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921 A.D.) ko azaan e Jum’aa ke dauraan 65 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Bareilly Shareef (Uttar pradesh) me hai.
***********
(Makhuz Az:Kutub E Aamay,Khususan -Mazharul Manaqib Hayat E Aalahazrat By-Huzoor Mailkul Ulma)
(Sawanah E Aalahazrat-by Huzoor BadrudDeen Ahmed Qadri)
(Ikraam E Imaam Ahmed Raza,By-Mufti Burhanul Haq Jabalpoori)

(Seerat E Mujaddid E Deen O Millat By-Abdulhakeem Khan Akhtar Shahjahanpoori)

رضوان اللّٰہ علیہم اجمعین،خدا رحمت کند ایں عاشقان پاک طینت را۔

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Aa’la Hazrat Imaam e Ahle sunnat Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.    
                                          (MOHSIN RAZVI)

Friday, 4 December 2020

Hazrat Bilaal al-Habashi RadiAllaho Ta'ala Anhu Ki Zindagani Mubaraka


Hazrat Bilaal al-Habashi RadiAllaho ta’ala anhu :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Sayyed-ul-Muazzeen, Muazzin-e-Awwal.
*********
Aap ki wilaadat 580 A.D. me Makka me hui.
*********
Aap ke waalid ka naam Rabah aur waalida ka naam Hamamah hai.
Aap ke waalidain Habasha (Abyssinia / Africa) ke the.
*********
Ek baar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam Makka ki ek gali se guzar rahe the. Unho ne ek ghar me se kisi ke rone ki aawaaz suni. Is dard bhari rone ki aawaaz sunkar be-ikhtiyaar us ghar me daakhil ho gaye. Dekha ke ek Habashi naujawaan chakki pees raha hai aur zaar o qataar ro raha hai. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne us se rone ki wajah puchhi to us ne bataaya ke “Main ek ghulaam hu. Saara din apne maalik ki bakariya charaata hu. Shaam ko thak kar jab ghar aata hu to mera maalik mujhe gamdum ki ek bori peesne ke de deta hai. Jis ko peesne me puri raat lag jaati hai. Main bhi ek insaan hu. Mera jism bhi aaraam maangta hai. Lekin mere maalik ko mujh par zara bhi taras nahi aata hai. Main apni buri qismat par ro raha hu. Kya meri taqdeer me saari zindagi isi tarah ro rokar guzaarna hi likha hai?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Main tumhare maalik se kehkar tumhari mashaqqat to kam nahi karwa sakta kyun ki wo meri baat maanega nahi. Haan, Main tumhari thodi madad kar sakta hu. Tumhari jagah par main chakki peesta hu aur tum so jaao.” Woh Habashi ghulaam bahot khush hua aur shukriya ada karke so gaya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam us ki jagah par chakki peeste rahe. Jab gandum khatm ho gaye to aap use baghair jagaaye waapas tashreef le aaye. Dusre din phir aap waha tashreef le gaye aur us ghulaam ko sulaakar us ki jagah chakki peeste rahe. Teesre deen bhi yehi maajra hua aur subah ko aap khaamoshi se apne ghar tashreef le aaye. Chothe din jab aap waha gaye to us ghulaam ne kaha “Aye Rabb ke bande!, Aap kaun hain aur mera itna khayaal kyun kar rahe hain? Hum ghulaamo se na kisi ko koi dar hota hai aur na koi faa'ida to phir aap ye sab kuchh kis liye kar rahe ho?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Main to ye sab insaani humdardi ke tahet kar raha hu. Is ke ilaawa mujhe tum se koi garz nahi.” Us ghulaam ne kaha “Aap kaun ho?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Kya tum jaante ho ke Makka ke ek shakhs ne nabuwwat ka ailaan kiya hai?” Us ghulaam ne kaha “Haan, Maine suna hai ke Mohammad ibn Abdullāh naami ek shakhs khud ko ALLĀH ka nabi kehta hai.” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Main wohi Mohammad hu.” Yeh sunkar us ghulaam ne kaha “Agar aap hi woh nabi hain to mujhe kalma padhaa'iye kyun ki itna shafeeq aur meharbaan koi nabi hi ho sakta hai jo ghulaamo ka bhi is qadar khayaal rakhe.”
Phir Hazrate Bilaal kalma padhkar Islaam me daakhil hue.
Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
*******************
Aap ne 30 saal ki umr me jab Islaam apnaaya to shuru me makhafi rakha. Jab aap ke Maalik Umayyah ibn Khalaf ko pata chala to us ne aap ko tarah tarah ki takleef dena shuru kiya. Woh aap ko garm ret par letakar aap ke upar bade bhari patthar rakta tha. Hazrate Bilaal ne har takleef bardaasht ki magar Islaam aur daaman e Mustafa ko na chhoda aur apne ishq e Mustafa ka ṡaboot diya.
Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke hukm par Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Umayyah ibn Khalaf ko dusra ghulaam aur kuchh raqam dekar aap ko aazaad karaaya.
Jab Hazrte Abu Bakr aap ko lekar jaa rahe the tab Umayyah ibn Khalaf ne kaha “Aye Abu Bakr! Tum ne bahot mahenga sauda kiya.” to Hazrte Abu Bakr Siddeeq ne us se kaha “Tum ne sirf Bilaal ko dekha hai aur maine us ke dil me ishqe Rasool ko dekha hai.”
*********
622 A.D. me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Madeena aane ke baad Aap bhi Makka se Hijrat karke Madeena aa gaye.
*********
Aap ne Jung e Badr aur dusri tamaam jung me shirkat ki.
Junge Badr me Aap ne Umayyah bin Khalaf ko qatl kar diya.
*********
Aap Islaam ke sab se pehle Muazzin hain.
2 Hijri me jab Hazrate Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Namaaz ke liye musalmano ko jama karne ke liye Azaan pukaarne ka mashwara diya to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Bilaal ko Muazzin muqarrar kiya.
Aap hamesha Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath rehte the, Masjid e Nabawi me ya Masjid e Quba me ya Safar me, aur Aap ki Azaan ki aawaaz se ashaaba ko pata chal jaata tha ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kis maqaam par hain.
Jab Makka fatah hua to Aap ne Ka’abatullāh par Azaan pukaari.
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko apna khajaanchi muqarrar kiya tha aur jab koi shakhs apni haajat lekar darbaar e nabi me aata tha to aap Hazrate Bilaal ko uske liye hukm dete the aur Aap us haajatmand ko us ki haajat ki cheez dete the.
*********
Ek martaba Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne Fajr ke waqt Hazrate Bilaal se farmaaya ke “Aye Bilaal! Yeh bataao ke eimaan laane ke baad tum ne wo kaun sa aisa amal kiya hai jo fazeelat me dusre amal se badhkar hai. Kyun ki maine jannat me tumhare qadmo ki aawaaz aage aage suni.”
Aap ne kaha ‘Ya Rasool-Allāh sallallahu alaihi wa sallam! Mujhe aisa koi amal yaad nahi aata.” Phir kuchh der baad aap ne kaha “Aye mere Aaqa! Main jab bhi wuzu karta hu, chaahe din me ya raat me, to foran main 2 rak'at nafl Tahyatul Wuzu padhta hu aur jab bhi mera wuzu toot jaata hai to main foran wuzu kar liya karta hu.”
Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Aye Bilaal! Yehi woh amal ho sakta hai, jis ki wajah se yeh khushkhabari mili hai.”
(Sahih Bukhari, Jild -2, Hadeeṡ -1149)
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke parda farmaane ke baad Hazrate Abu Bakr radiy-Allāhu ta’ala anhu ke iltija karne par Hazrate Bilaal Madeena munawwara me thehre.
Lekin un ke wisaal ke baad Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaaane me Hazrate Bilaal ne un se Jihaad ke jaane ki ijaazat chaahi. Hazrate Umar Faarooq ne Madeena me rookne ki guzaarish ki magar Aap na maane aur Shaam [Syria] ki taraf rawaana ho gaye aur Halab me muqeem hue.
*********
Ek saal baad khwaab me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat hui aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Aye Bilaal! Kya hum se milna nahi chaahte?”
Aap foran oontani par sawaar hokar Madeena munawwara tashreef laaye. Roza e Rasool par haazir hue aur be-inteha rote hue gir pade.
Jab Aap ko hosh aaya to logo ne Aap ko fajr ki azaan ke liye guzaarish ki. Shuru me mana karne ke baad Hazrate Hasan aur Husain ko bulaaya gaya aur jab unho ne guzaarish ki to Aap ne azaan pukaari aur sab ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke zamaana e zaahiri ki yaad aa gai. Magar ‘Ashhadu anna Mohammadur Rasool-Allāh’ par pahunchkar Aap ki aankho se aansoo jaari ho gaye aur aawaaz halaq me rook gai. Jab Aap ko hosh aaya to bataaya ke “Jab main ‘Ashhadu anna Mohammadur Rasool-Allāh’ kehta tha to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko dekh leta tha. Aaj Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko aankho ke saamne na paaya to Aaqa ke hijr me khud ko sambhal nahi saka.”
Phir usi roz Aap Mulke Shaam waapas chale gaye.
****************
Qaul :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
“Deen e Islaam me kisi tarah ka jabr nahi. Hidaayat paane me kisi ko barso lag jaate hain to kisi ko ek pal. Waqt ka ta’ayyun sirf ALLĀH ta’ala hi karta hai.”
*********
Aap ka wisaal 20 Moharram 18 Hijri (2 March 640 A.D.) ko 60 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Damascus (Syria) me ‘Baab-us-sagheer’ me hai.
*********.       
                                           (MOHSIN RAZVI)

Thursday, 3 December 2020

Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Ali Ahmad Saabir Kaliyari Ki Zindagani Mubaraka


Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Ali Ahmad Saabir Kaliyari rahmatullāhi alaihi :

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Saabir Piya, Makhdoom-ul-aalam.
*************
Aap ki wilaadat 19 Rabi-ul-awwal 592 Hijri (22 February 1195 A.D.) ko Kotwaal (Multan) me hui.
*************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abdul Raheem bin Sayyed Saif-ud-deen Abdul Wahaab bin Ghauṡ-ul-aazam Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Bibi Haajra urfe Jameela Khaatoon bint Jamaal-ud-deen Sulaimān hai.
Aap Hasani saadaat hain.
Aap ke waalidain 591 Hijri (1194 A.D) me Hindustan tashreef laaye.
*************
Jab Aap ki wilaadat hui to pura makaan Noor se roshan ho gaya. Jab dhoodh pilaane waali Daaya ne Aap ko haath me liya to us ke haath me bahot sakht jalan hone lagi. Us ne Aap ki waalida se is ki shikaayat ki. Aap ki waalida ne farmaaya ke “Jaao, pehle wuzu kar lo warna is bachhe ko haath me na le sakogi. Yeh bachha ALLĀH ka mehboob wali hai aur is ki paidaish ALLĀH ki mashiyat ka raaz hai.” Phir jab Daaya ne wuzu kiya aur Aap ko haath me liya to Daaya ko koi takleef na hui.
*************
Aap ke waalid ke inteqaal ke baad 600 Hijri (1204 A.D.) me aap ki waalida Aap ko Pakpattan parwarish ke liye apne bhai Baba Fareed Mas'ood Ganje shakar rahmatullāhi alaihi ke paas le gai aur Aap ko un ki khidmat me rakha.
Kuchh arse baad aap ki waalida Aap se milne aai to dekha ke Aap kuchh kamzor ho gaye hain. Unho ne Baba Fareed se shikaayat ki to unho ne farmaaya ke ‘Maine use langar ki zimmedaari di hai. Is liye use khaana khaane ki koi pareshaani nahi honi chaahiye.’
Jab Aap se puchha gaya to Aap ne farmaaya ke “Mujhe langar ki zimmedaari di gai hai. Lekin mujhe us me se khaane ke liye nahi kaha gaya.” Phir jab puchha ke “Tab tum kya khaakar guzaara karte ho?” To aap ne farmaaya ke “Jab main faarigh hota hu to jangal me chala jaata hu aur waha jo kuchh khaane ke liye mile khaa leta hu.”
Is ke baad Aap ‘Saabir’ (Patient) ke naam se mash'hoor ho gaye.
*************
Aap ne Baba Fareed rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Aap bahot hi zaheen the aur hamesha ibaadat aur zikre ilāhi kiya karte the.
Aap jab bade hue to aap ki waalida ne Baba Fareed ko apni beti Khadeeja ka nikaah Saabir piya se karane ke liye guzaarish ki. Baba Fareed ne farmaaya ke “Yeh munaasib nahi hai kyun ki Saabir tasawwuf aur ishq e ilāhi me kho chuka hai. Jab tak wo nikaah karna na chaahe tab tak ye mumkin nahi hai.”
Magar is ke baad Aap ki waalida ke baar baar israar karne par Baba Fareed ne apni beti ka nikaah Saabir piya se karaaya.
Raat ko jab Aap apne kamre me gaye to Aap ne puri raat muraaqaba aur ibaadat o riyaazat me masroof rahe. Aakhir me Aap ki biwi ne Aap se puchha ke “Aap meri taraf dekhte kyun nahi? Main Aap ki biwi hu.” Aap ne farmaaya ‘Yeh kaise mumkin hai ke mere dil me do cheez ki mohabbat ek saath rahe, Jab ke main to ek ki mohabbat me goom ho chuka hu.” Yeh kehkar Aap ne apni biwi ki taraf dekha to woh us noor ki tajalli bardaasht na kar saki aur jalne lagi.
*************
649 Hijri (1253 A.D.) me Baba Fareed ne Aap ko Kaliyar ke wali aur nigehbaan banakar bheja.
Aap jab Kaliyar pahunche to Gulzari naami ek aurat ke waha thehre.
Aap ne Kaliyar me ta’aleem e deen shuru ki.
Kaliyar ka Qaazi Tabrak Aap se hasad rakhta tha. Ek baar Jumeraat ko jab Aap masjid me taqreer farma rahe the, tab Tabrak ke kehne par Raees e Kaliyar ne aakar Aap se kaha ke “Meri bakari 3 mahine pehle goom ho gai hai. Agar tum us ke baare me bata sakte ho to ham tumhe apna Imaam maanenge.”
Aap ne aasman ki taraf dekhkar farmaaya “Jinho ne is ki bakari ko khaaya hai wo sab aage aa jaaye.” 27 aadami waha aa pahunche. Lekin unho ne is se inkaar kiya. To Aap ne raeese Kaliyar ko us ki bakari ko pukaarne ke liye kaha. Us ne kaha “Harmana Harmana! Tum kaha ho?” Tab un logo ke pait me se bakari bolne lagi ke “Mujhe ye log maarkar khaa gaye hain.”
Phir bhi wo log Aap ko pareshaan karte rahe.
Ek baar Aap namaaz e jum’aa ke liye masjid me gaye aur pehli saf me khade hue to us ne Aap ko pichhe jaane ke liye kaha aur kaha ke “Aage ki saf me sirf ameer log namaaz padhenge.” Jab sab log sajde me gaye to Aap ne masjid se farmaaya ke “Sab log sajda kar rahe hain, tu bhi sajda kar le.” Yeh sunkar masjid jhukkar gir gai aur waha maujood sab log us ke neeche dab gaye. Jab Gulzari ko pata chala to woh bhaagkar masjid me aai kyun ki us ka beta bhi waha namaaz padhne ke liye aaya tha. Aap ne use apne bete ko un murdo ke bich me se baahar nikalne ke liye kaha. Us ne apne bete ko talaash karke nikaala to dekha ke woh zinda ho gaya tha.
Is ke baad Aap ne 12 saal tak ek guler ke darakht ke neeche khade hokar ibaadat wa riyaazat ki.
*************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Agar aa’la martaba paana chaahte ho to Saadgi aur Sachai apnaao.
(2) Murshid ke paas mureed ki khaamiyo ko sudhaarkar raahe haq dikhaane ki salaahiyat honi chaahiye.
*************
Aap Hazrat Baaba Fareed-ud-deen Mas'ood Ganje-Shakar Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Chishti Saabri’ silsila jaari hai.
Aap ke khalifa Hazrat Khwaja Shams-ud-deen Turk Panipati rahmatullāhi alaihi hain.
*************
690 Hijri (1291 A.D.) Aap ne Khwaja Shams-ud-deen Turk ko Chittor jaakar Sultaan Ala-ud-deen Khilji ko Amber ka Qila fatah karne me madad karne ke liye farmaaya aur farmaaya “Jis din tum apni pehli karaamat zaahir karoge usi din tumhare peer ka inteqaal hoga.”
Sultan Ala-ud-deen Khilji ki iltija par Khwaja Shams-ud-deen Turk ne dua farmai aur un ki dua se qila fateh hua.
Magar Khwaja Shams-ud-deen Turk Kaliyar waapas aaye to Saabir piya ka wisaal ho gaya tha.
*************
Hazrat Saabir piya rahmatullāhi alaihi ke ek mureed ne Aap se sawaal kiya ke “Aap mujhe samjhaa'iye ke ‘Fana aur Baqa kya hai?” Aap ne use kaha ke “Tum kuchh din intazaar karo, main baad me tumhe bataunga.”
Us ke kuchh din baad Aap ka inteqaal ho gaya. Aap ne wisaal se pehle wasiyat ki thi ke “Mere inteqaal ke baad mujhe ek kamre me rakh dena aur kuchh waqt guzarne ke baad ek naqaab-posh shakhs aakar mera ghusl aur takfeen karega. Is ke baad wo hi meri namaaz e janaaza padhaega.”
Logo ne aisa hi kiya. Aap ko ek kamre me rakh diya. Kuchh der baad ek naqaab-posh shakhs aaya aur kamre me jaakar Aap ko ghusl diya aur takfeen kiya. Phir baahar aakar us ne namaaz e janaaza padhaai aur jab ghode par sawaar hokar jaane lage to us mureed ne use roka aur kaha ke “Aap kaun hain yeh to hume bataa'iye ya kam se kam apna naqaab hataakar apna chehra dikha de to hame pata chale ke hamare peer ki namaaz e janaaza kis ne padhaai?”
Tab us naqaab-posh shakhs ne apna naqaab uthaaya to sab ne dekha ke woh shakhs ‘Hazrat Saabir piya’ hi the.
Jab mureed ne herat se puchha ke “Yeh kya muamala hai?” to Hazrat Saabir piya ne use kaha ke “Kuchh din pehle tum ne puchha tha ke Fana aur Baqa kya hai aur Maine kaha tha ke tujhe kuchh din baad bataunga. To yeh mera jawaab hai. Jo janaaze me leta hai woh ‘fana’ hai aur jo tere saamne khada hai woh ‘baqa’ hai.”
*************
Aap ka wisaal 13 Rabi-ul-awwal 690 Hijri (16 March 1291 A.D.) ko 98 baras ki umr me hua.
Aap ka mazaar Kaliyar (Uttarakhand) me hai.
*************
Aap ke Mazaar shareef ke bilkul saamne Hinduo ne ek Mandir bana liya aur waha pooja shuru kar di. Is ke baad un log ne Aap ke mazaar ko shaheed karna ka iraada kiya. Magar mazaar ki hifaazat ke liye sher zaahir ho jaate aur wo Hunud apne maqsad me nakaam rehte.
Ek din Mandir ka maalik Aap ke mazaar ko shaheed karne ke iraade se aaya. Us ne dekha ki saamne 2 sher baithe hain. Woh himmat karke khada raha to wo sher hat gaye. Woh Kaafir aage badha to achaanak bijli chamki aur tham gai.
Aakhir me woh mazaar shareef tak pahuncha aur us ne deewaar me surakh karke apna sar andar daala. Jaise hi us ne apni gardan daali ke woh phans gaya aur nikal na saka. Saabir piya ne Aastaana shareef ke khaadimo ko bashaarat di ke “Ek soovvar mere mazaar par mara pada hai. Use nikaal kar phenk do.” Bashaarat milte hi Khaadim mazaar shareef par haazir hue. Us Kaafir ka munh us suraakh se nikaala to dekha ke waaqai us ka munh soovvar jaisa ho gaya tha.
*************
                                             (MOHSIN RAZVI)

Monday, 30 November 2020

Ghaus E Aazam Ki Zindagani Mubaraka (Part 4)


************
Aap Sayyed ul Auliya hain ya’ni Tamaam Auliya Allāh ke Sardaar aur Peer e Peeraan hain.
Aap ne Baghdad me jab farmaaya ke ‘Qadami haazee hi ala raqabati kulli Waliyillāh ya’ani Mera qadam tamaam Auliya Allāh ki gardano par hai’ tab tamaam Auliya Allāh ne tasleem kiya.
Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi ne farmaaya ‘Aye Peeran e peer! Aap ka qadam mubarak meri gardan par hi nahi, mere sar par hai.’
************
Aap ko ‘Ghauṡiyat e kubra’ ka martaba mila hai.
Aap se pehle yeh martaba Hazrat Imaam Sayyed Hasan al-Askari radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas tha aur Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilaai tak yeh maqaam un ke paas raha aur phir Hazrat Ghauṡ e aazam ko mila.
Aur aap ke baad Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Mahdi radiy-Allāhu ta’ala anhu ko yeh milega aur tab tak Ghauṡ e aazam ki Ghauṡiyat e kubra ka zamaana rahega.
************
Aap 5wi sadi ke Mujaddid hain.
Aap ko ‘Mohiy-ud-deen’ ka laqab mila hai ya’ani Deen ko zinda karne waala.
Huzoor Sayyed-ul-Ambiya Rasool-e-Aazam sallallāhu alaihi wa sallam ne har takleef bardaasht karke deen e islaam ki bunyaad qaa'im ki aur Aap ke ashaaba ne beshumaar qurbaaniya dekar Islaam ki hifaazat ki aur Karbala me Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Aap ke wafaadaar saathiyo ne islaam ko taaza kiya. Us ke baad har zamaane me aa'imma ne islaam ko aur mazboot kiya.
Aur phir jab zaroorat pesh aai tab ALLĀH ta’ala ne Ghauṡ-ul-aazam ‘Mohiy-ud-deen’ Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ko bhejkar deen e Islaam ko phir se zinda kar diya.
Aap ne ‘Mo'atazila’ firqe ka muqaabala kiya. Is firqe ka bad-aqeeda tha ke “Qur'an majeed makhlooq hai.” Aap ne bataaya ke “Qur'an majeed ALLĀH ka kalaam hai.”
Isi tarah bahot saari Bid'aten phail gai thi. Jin ko Aap ne apni ta’aleem ke zariye rad kiya aur logo ko Sunnat wa Shariat ki ta’aleem di.
Aap ke shaagird Shaikh Abdullāh Zubai farmaate hain ke “Ek martaba Hazrate Ghauṡe aazam radiy-Allāhu ta’ala anhu ki taqreer se muta’aṡṡir hokar 1 laakh se zyada faasiq o gumraah ne tauba ki aur hazaaro yahoodi aur eisaai mazhabe islaam me daakhil hue.”
*******************
Shaikh Umar Kimani bayaan farmaate hain ki
“Ek martaba Hazrate Ghauṡe aazam radiy-Allāhu ta’ala anhu ki khidmate aqdas me 13 logo ne Islaam qubool kiya.
Musalman hone ke baad un logo ne bayaan kiya ke Hum log Arab ke Eisaai the. Hum ne Islaam qubool karne ka iraada kiya aur ye soch rahe the ki kisi marde kaamil ke mubarak haath par Islaam qubool karen.
Isi dauraan ek hum ne Ghaibi aawaaz suni ke Tum log Baghdad jaao aur Shaikh Abdul Qaadir Jilani ke Mubarak haatho par Islaam qubool karo. Kyun ki jis qadr eimaan Shaikh Abdul Qaadir Jilani ki barkat se tumhare dilo me ghar karega us qadr eimaan is zamaane me kisi dusri jagah se na-mumkin hai.
Chunaanche hum log usi ghaibi farmaan par Baghdad aaye aur Alhamdulillāh humare seene Noore hidaayat se roshan ho gaye.”
************
Aap irshaad farmaate hain
“Agar tum kisi ko hawa me udta dekho,
Lekin wo Shariat ka paaband na ho, to wo Istidaraaj hai, Wilaayat nahi.”
************
Ek baar Aap jangal me mujaahida me masroof the aur Aap ko bahot pyaas lagi. Achanak rahmate ilāhi se ghaib se ek baadal aaya aur Aap ke upar baarish barasne lagi. Aap ne us paani piya. Is ke baad Aap ne dekha ke ek aur baadal zaahir hua aur us me se itni roshni zaahir hui ke aasmaan tak phail gai. Us me se ek surat zaahir hui aur us ne kaha “Aye Abdul Qaadir! Main tumhara khaaliq aur Rab hu. Maine tumhare liye sab cheez halaal kar di hai.” Aap ne foran ta’aooz (Aoozu billāh) padha. Us ke saath hi foran woh roshni gaa'ib ho gai aur andhera ho gaya. Aur ek aawaaz aai “Aye Abdul Qaadir! Tumhare ilm ne tumhe bacha liya. Warna maine bahot saare auliya ko is tarah gumraah kar diya hai.” Aap ne farmaaya “Beshak yeh mere Rab ka karam hai, jis ne mujhe tum se bacha liya.”
Aap ke saahabzaade Shaikh Sayyed Zia-ud-deen Moosā ne is baat ko sunkar Aap se arz kiya “Aap ne yeh kaise ma'aloom kiya ki woh shaitaan hai?” Aap ne farmaaya “Kyun ki us ne mujh se kaha ki jo haraam hai wo bhi mere liye halaal kar diya. Aur ALLĀH ta’ala kabhi aisa galat hukm nahi farmaata.”
************
15 saal tak Aap raat bhar me ek Qur'ān majeed mukammal karte rahe.
40 saal tak Aap ne Ishaa ke wuzu se Fajr ki namaaz ada ki.
                                          
                                           (MOHSIN RAZVI)

Sunday, 29 November 2020

Ghaus E Aazam Ki Zindagani Mubaraka (Part 3)


520 Hijri (1126 A.D.) me Aap ne Sunnat e Rasool ada karne ke liye nikaah kiya.
*****************
521 Hijri (1127 A.D.) me Hazrat Abu Saeed Mubarak Makhzumi ne apni jagah par Aap ko Sadr-ul-mudarris banaaya.
***************
Aap farmaate hain ki :
“Ek roz Zohar se kuchh pehle Maine jaagte me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat ki. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Beta! Tum wa’az kyun nahi karte?’ Maine arz kiya ‘Huzoor! Main Baghdaad me bade bade Fuqaha ke saamne bol nahi sakta.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Apna munh kholo.’ Maine apna munh khola to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne mere munh me apna Luaab-e-dahan 7 martaba daala aur farmaaya ‘Ab bilaa khauf wa’az kehna shuru kar do.’
Chunaanche main namaaze Zohar ke baad wa’az ke liye baitha to log khud ba khud mera wa’az sunne ke liye baith gaye aur aahista aahista bahot log jama ho gaye. Phir dekha ke Hazrat Maula Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu mere saamne tashreef farma hain aur mujh se farmaane lage ‘Beta! Ab wa’az kyun nahi karte?’ Maine arz kiya ‘Huzoor! Itne bade majme me bolne ki himmat nahi hoti.’ Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ne farmaaya ‘Achha, apna munh kholo.’ Chunaanche maine apna munh khola to Hazrat Ali ne 6 martaba apna Luaab-e-dahan daala. Maine arz ki ‘Huzoor! 6 martaba kyun?’ To unho ne farmaaya ‘Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke adab ki wajah se. Huzoor ne 7 martaba luaab-e-dahan daala aur main Huzoor ki barabari kise kar sakta hu?’
Aap farmate hain “Phir saare hijaab uth gaye aur main khub wa’az kehne laga.”
*******************
Aap ne madrasa me talba ko ta’aleem wa tadrees shuru ki aur Islaam ki isha’at karna shuru kiya aur wa’az aur naseehat karte rahe.
Jab madrasa me talba ki ta’adaad badhne lagi to 528 Hijri me Aap ne aas paas ke makaan khareed liye aur unhe madrasa me saamil karke madrasa ki naye sire se ta’ameer ki.
Aap ke ta’aleemaat se aur karaamat dekhkar beshumaar logo ne Islaam apnaaya.
Aap ne apne shaagirdo ko jama’at banaakar Islaam ki isha’at ke liye dusre mulko me bhejna shuru kiya.
Aap ke shaagirdo me Ibrāheem bin Bishr, Mohammad bin Ahmad Bakhtiar, Abdullāh al-Sa’adi, Raafe bin Ahmad, aur Abu Mohammad bin Abdul Husain mash'hoor hain.
********************
Aap ko ALLĀH ta’ala ne aisa khaas ilm ata farmaaya tha ke har mas'ale ka sahi hal aasaani se ata farmaate the aur bahot saare mauqe par apne ilm se logo ko faa'ida pahunchaaya.
Aap Hambali mazhab ke muqallid the. Magar har mazhab ke mutaabiq sahi Fatawa dete the.
Ek martaba mulke Ajam se Aap ke paas ek mas'ala pesh kiya gaya jis ka jawaab Iraq ke koi bhi Mufti ne us sawaal ka jawab nahi de paaye the.
Sawaal yeh tha ki “Ek shakhs ne mannat maani ki woh koi aisi ibaadat karega jis me us ibaadat ke waqt us ke saath puri kaa'inaat me koi dusra shareek na hoga aur agar woh aisi ibaadat na kar sake to us ki Biwi ko 3 Talaaq. Aisi haalat me woh shakhs kaun si ibaadat kare jis me us ke saath koi shareek na ho?”
Tamaam ulama-e-kiraam is sawaal ka jawaab dene me nakaam rahe. Jab yeh sawaal Sarkaar Ghauṡe paak radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas aaya to Aap ne foran yeh Fatwa diya ki “Woh shakhs Makkah moazzama chala jaaye aur Mataaf [Tawaaf karne ki jagah] us ke liye khaali kar diya jaaye aur woh Ka’aba shareef ka Tawaaf kare to us ki mannat puri ho jaayegi.”
Yeh jawaab sunkar bade bade ulama hairaan reh gaye kyun ki sirf yehi ek soorat thi jis me woh shakhs tanha ibaadat kar sakta tha.
                                        (To Be Continue)
                                        (MOHSIN RAZVI)

Saturday, 28 November 2020

Ghaus E Aazam ki Zindagani Mubaraka (Part 2)

Ghaus E Aazam

Aap ne ibtidai ta’aleem Jilan me haasil ki.
Aap jab madrasa me gaye aur ustaad ne ‘Bismillāhir Rahmaanir Raheem’ padhne ke liye kaha to Aap ne ‘Bismillāh’ ke baad Qur’an ke 15 paare padh liye. Aap ki waalida ko 18 paare hifz the aur hamal ke dauraan jab wo tilaawat karti thi tab Aap ne 18 paare sikh liye.
Aap jab madrasa me tashreef laate tab ghaib se aawaaz aati thi ‘Allāh ke wali ke liye jagah khaali karo.’
************
11 Zil Qa’ada 489 Hijri (October 1096 A.D.) me Aap ke waalid ka inteqaal hua.
Kuch arse baad Aap ne mazeed ta’aleem ke liye apni waalida ki ijaazat maangi. Aap ki waalida ne Aap ko Hamadan jaa rahe ek qaafile ke saath Baghdad rawaana kiya aur Aap ke kameez ke andar 40 deenaar rakhkar upar se sil diye aur Aap ko har haal me se sach bolne ki aur Halaal khaane ki naseehat ki. Aur farmaaya ke ‘Agar raaste me koi pareshaani ho to ye dua 101 baar padh lena. In shaa Allāh pareshaani door ho jaayegi – Allāh kaafi qasadatul kaafi wajadatul kaafi li kulli kaafi kafaafil kaafi wa ni'amal kaafi wa lillāhil hamd.”
Raaste me Hamadan ke qareeb dakaito ke giroh ne qaafile ko gherkar loot liya. Aur jab Aap se puchha ke “Tumhare paas kuchh maal hai?” to aap ne farmaaya ke “Mere paas 40 deenaar hai jo kameez ke neeche kafni ke andar sile hue hain.” Daakoo ne kafni me dekha to waaqai 40 deenaar maujood the. Daakoo ke sardaar ne kaha ke”Aye bache! Agar tu hume sach nahi bataata to hume pata bhi chalta.” Aap ne farmaaya ke “Meri maa ne mujhe har haal me sach bolne ke liye kaha hai. Is liye main jhut nahi bol sakta.”
Aap ki baat sunkar daakoo ke giroh ne foran tauba kar li.
************
490 Hijri (1096 A.D.) me Aap Baghdad tashreef laaye aur Jaamia Nizaamia me ta’aleem haasil ki.
Hazrat Shaikh Abu Saeed Mubarak al-Makhzumi aur Hazrat Abu Ali al-Mukharrami se Aap ne Fiq'h ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Abu Bakr ibn Muzaffar, Hazrat Muhammad ibn Husain Baqalai aur Hazrat Abu Saeed bin Abdul Kareem se Aap ne Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Abu Muhammad Ja’afar se Aap ne Tafseer ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Shaikh Abu Saeed Mubarak al-Makhzumi aur Hazrat Shaikh Abul Khair Hammaad ibn Muslim al-Dabbas se Aap ne Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Abu Zakariya Yahyā Tabrizi se bhi Aap ne ta’aleem haasil ki.
************
Ta’aleem mukammal karne ke baad Aap Baghdad chhodkar Sehra me chale gaye aur ibaadat wa riyaazat aur mujaahida me 15 saal guzaare.
509 Hijri (1116 A.D.) me Aap ne pehla Hajj ada farmaaya.
Phir jab Makka mukarrama se Madeena munawwara tahreef laaye to ba-adab arz kiya “Aye Naanajaan! Aaj tak to main apni Rooh ko aap ki baargaah me Salaat o Salaam pesh karne ke liye bheja karta tha. Aaj tak meri rooh Aap ke darbaar me haazir hoti thi aur me Salaat o Salaam pesh karti thi. Lekin Aye ALLĀH ke pyaare Rasool sallallāhu alaihi wa aalihi wa sallam! Aaj Aap ka nawaase Abdul Qaadir apne jism aur rooh ke saath haazir hai aur ye tamanna lekar ke aaya hai ke Aap ke mubarak haatho ka bosa le sake.”
Aap ka itna arz karna tha ke Huzoor Habeebe khuda Sarware kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ke dono nooraani haath mubarak qabr shareef se baahar aaye. Sarkaar Ghauṡe aazam ne musaafa kiya aur haatho ko bosa diya.
*****************      (TO BE CONTINUE)
                                           (MOHSIN RAZVI)

Friday, 27 November 2020

Ghaus E Azam Ki Zindagani Mubaraka (Part 1).


Hazrat Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦️♦️♦️♦️

Khitaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Mohiy-ud-deen.

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Mehboob-e-Sub'hāni, Sayyed-ul-Auliya,  Imaam-ul-Asfiya, Peer e peeraan, Shaah e Miraan, Ghauṡ-ul-aazam, Ghauṡ-us-Ṡaqlain, Ghauṡ-us-Samadaani, Qutb-e-Rabbaani, Shaikh e laa-ṡaani, Qindeel-e-Nooraani, Saahib e Roshan zameer, Dastgeer.

************
Aap ki wilaadat 1 Ramazaan 470 Hijri (18 March 1077 A.D.) ko Naaif, Jilan (Iran) me hui.

************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abu Saaleh Moosā Jangi-dost bin Sayyed Abdullāh Jilli rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Sayyeda Ummul Khair Faatima binte Sayyed Abdullāh Sawmai az-Zaahid rahmatullāhi alaihi hai.

Aap ‘Najib-ut-Taraffain’ hain.
Aap ke waalid Hazrat Imaam Hasan al-Muṡanna ibne Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba ibne Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain ya’ani Hasani saadaat hain.

Aap ki waalida Hazrat Imaam Zain-ul-Aabideen Ali al-Awsat ibne Hazrat Imaam Husain ibne Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu tala anhu ki nasl hain ya’ani Husaini saadaat hain.

************
Aap apni waalida ke batan me rahe tab un ki umr 60 baras thi. Is umr me hamal rehna bahot mushkil hai.

Jab Aap ki waalida chhink aane par ‘Alhamdulillāh’ kehti to aap waalida ke pait me se jawaab me ‘Yarahmak-Allāh’ kehte.

Aap ki wilaadat se pehle Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ke waalid ko khwaab me bashaarat di ke “Aye Abu Saaleh! Tumhare liye khushkhabari hai ke tumhare yaha mera beta aane waala hai, Tamaam auliya me us ka rutba aisa hai jaisa mera tamaam Ambiya me.”

Aap ki wilaadat ki raat Baghdad ke ilaaqe me 1100 ladke paida hue wo tamaam Auliya Allāh bane.

Ramazaan me paida hone par Aap paida'ish se sirf raat me hi apni waalida ka doodh pite the aur din me nahi pite the.
Us saal baadal hone ki wajah se Ramazaan ka chaand nahi dikhaai diya tha. Jab kuchh logo ne Aap ke ghar par aakar yeh baat batai to Aap ki waalida ne farmaaya ke “Mera bacha din me doodh nahi pee raha hai, sirf raat me hi doodh pita hai. Is liye Ramazaan ka chaand ho gaya hai.
                                            (To Be Continue)
                                  
                                             (MOHSIN RAZVI)

Thursday, 26 November 2020

*💫Tazeem E AhleBait💫*


Hazrat Zaid Bin Arqam radiAllahu Ta'ala Anhu Farmatey hai,RasoolAllah صلی اللہ علیہ و سلم Ne Farmaya;
*"✨Mai Tum Me 2 Cheezein Chodh Kar Jaa raha Hu,1)Kitabullah (Qur'an e Paak ) , 2)Apne Ahlebait(Ghar Wale:Azwaaj wa Aal e Athar),aur Yeh Dono Ek Dusre Se Juda Na Honge,Hatta Ke Yeh Mere Paas Hauz E Kausar Par Aayege"✨*
**(📚Al-maujjamul Ausat Lil Tibrani, Hadees-3439)*
*(📚Almustadrik AlasSaheehain, Kitab-Ma'raftil Sahabah,Hadees-4711)*
Aur Farmatey Haiصلی اللہ علیہ و سلم ;
*"✨Kyu Ke (Bina Kisi Garz Ke)Allah Tumhe Ne'matein Ataa Farmata Hai Isliye Us se Muhabbat Karo,Allah Ki Muhabbat Ke Liye Mujhse Muhabbat Karo,aur Meri Muhabbat Ke Liye Mere AhleBait Se Muhabbat Karo"✨*
*(📚Almustadrik AlasSaheehain; Hadees-4716)
*Aur Farmaya; 
**"✨Tum Me Aur Mere AhleBait Ki Misaal wahi Hai Jo Nooh AlaihisSalam ki Qaum Me Unki Kashti Ki Thi,Ke Jo Unme Sawar Ho Gaya Woh Bach Gaya Aur Jo Bach Gaya woh Doob Gaya"✨*
(📚Musnad E Shuhab,Hadees-1440)
(📚Al-maujjamul Ausat Lil Tibrani, Hadees-3478)
(📚 Almustadrik Lil Haakim,Hadees-4720)

Aur Farmaya ;
*الزموامودتنا اھل البیت فانہ من لقی اﷲ وھو یودنا دخل الجنۃ بشفاعتنا والذی نفسی بیدہ لاینفع عبدا عملہ الا بمعرفۃ حقنا*
**"✨Hum AhleBait Ki Muhabbat Lazim Pakdo Ke Jo Allah se Hamari Dosti ke Sath Milega Woh Shafa't Se Jannat Me Jayega,Qasam Uski Jiske Qabza Me Meri jaan Hai Kisi Bande Ko Uska Amal Nafa na Dega Jab Tak Hamara Haq Na Pehchane✨"*
(📚Tibrani-Makhuz az Fatawa Razviya, J-22)

Aur Farmaya; 
*"✨Us Zaat Ki Qasam ! Jo Shakhs Mere AhleBait Se Bugz Rakhega,Allah Usey Dauzakh Me Daalega"✨*
*(📚Almustadrik AlasSaheehain, Hadees-Hadees-4717)
*Aur Panjatan E Paak Ki Taraf Dekh kar Farmaya; 
**"✨Mai Tumhare Dost ka Dost hu Aur Tumhare Dushman ka Dushman hu"✨*
(📚Eizan,Hadees-4714)
Aur Farmaya; 
*"✨Agar Koi Aadmi Rukn aur Maqam e Ibraheemi Ke Andar Khada ho kar Namaz Padhta ho aur Rozahdaar ho,Phir Woh Mar Jaye Is haal me Ke Woh Rehmatul Aalameen Ke Ahlebait Se Bugz rakhta Ho,Toh woh Dauzakhi hai"✨*
*(📚Eizan,Hadees-4712)
*Sarkar Aalahazrat radiAllahu Ta'ala Anhu Farmatey hai; 
**"✨Yeh Faqeer Bihamdihi Ta'ala Hazraat e Saadat e Kiraam ka Adnaa Gulam wa Khaak E Paa Hai,Unki Muhabbat Wa Azmat Zariya E Nijaat wa Shafa't Janta Hai,Apni Kitabo Me Chap Chuka Hai Ke Sayyed Agar Badmazhab Bhi Ho Jaye Toh Uski Tazeem Nahi Jaati,Jab Tak Badmazhab Hadh E Kufr Tak Na Pohche,Haa'n Baad E Kufr Sayadat Hi Nahi Rehti,Phir Uski Tazeem Haram Ho Jati Hai"✨*
(📚Fatawa Razviya Shareef, J-29,p-586)
Aur ek Jagah Farmatey hai; 
*✨Saadat e Kiraam Ki Tazeem Hamesha Jab Tak Ke Unki Badmazhabi Hadd e Kufr Ko Naa Pohche, Uske Baad Woh Sayyed Hi nahi,Nasb Munqata hai"✨*
*Allah Ta'ala Farmata hai; 
**انہ لیس من اھلک انہ عمل غیر صالح*
*"✨Aye Nooh (AlaihisSalam )woh Tumhara Beta (Kun'aan)Tumhare Ghar Walo me se Nahi,Isliye ke Uske Kaam Acche Nahi"✨*
**"✨Jaise Nechri (Nastik),Qadiyani,(Rafzi ,Shia,Bohra)Wahabi,Gair Muqallid, Deobandi (Tablighi ),Agarcha Sayyed MashHoor Ho,Naa Sayyed Hai,Naa Unki Tazeem Halal,Balki Tauheen(Unko zaleel karna)wa Takfeer (Unhe Kafir Kehna)Farz"✨*
(📚Fatawa Razviya Shareef, J-22,p-422)

                                             (MOHSIN RAZVI)