Aap ne ibtidai ta’aleem Jilan me haasil ki.
Aap jab madrasa me gaye aur ustaad ne ‘Bismillāhir Rahmaanir Raheem’ padhne ke liye kaha to Aap ne ‘Bismillāh’ ke baad Qur’an ke 15 paare padh liye. Aap ki waalida ko 18 paare hifz the aur hamal ke dauraan jab wo tilaawat karti thi tab Aap ne 18 paare sikh liye.
Aap jab madrasa me tashreef laate tab ghaib se aawaaz aati thi ‘Allāh ke wali ke liye jagah khaali karo.’
************
11 Zil Qa’ada 489 Hijri (October 1096 A.D.) me Aap ke waalid ka inteqaal hua.
Kuch arse baad Aap ne mazeed ta’aleem ke liye apni waalida ki ijaazat maangi. Aap ki waalida ne Aap ko Hamadan jaa rahe ek qaafile ke saath Baghdad rawaana kiya aur Aap ke kameez ke andar 40 deenaar rakhkar upar se sil diye aur Aap ko har haal me se sach bolne ki aur Halaal khaane ki naseehat ki. Aur farmaaya ke ‘Agar raaste me koi pareshaani ho to ye dua 101 baar padh lena. In shaa Allāh pareshaani door ho jaayegi – Allāh kaafi qasadatul kaafi wajadatul kaafi li kulli kaafi kafaafil kaafi wa ni'amal kaafi wa lillāhil hamd.”
Raaste me Hamadan ke qareeb dakaito ke giroh ne qaafile ko gherkar loot liya. Aur jab Aap se puchha ke “Tumhare paas kuchh maal hai?” to aap ne farmaaya ke “Mere paas 40 deenaar hai jo kameez ke neeche kafni ke andar sile hue hain.” Daakoo ne kafni me dekha to waaqai 40 deenaar maujood the. Daakoo ke sardaar ne kaha ke”Aye bache! Agar tu hume sach nahi bataata to hume pata bhi chalta.” Aap ne farmaaya ke “Meri maa ne mujhe har haal me sach bolne ke liye kaha hai. Is liye main jhut nahi bol sakta.”
Aap ki baat sunkar daakoo ke giroh ne foran tauba kar li.
************
490 Hijri (1096 A.D.) me Aap Baghdad tashreef laaye aur Jaamia Nizaamia me ta’aleem haasil ki.
Hazrat Shaikh Abu Saeed Mubarak al-Makhzumi aur Hazrat Abu Ali al-Mukharrami se Aap ne Fiq'h ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Abu Bakr ibn Muzaffar, Hazrat Muhammad ibn Husain Baqalai aur Hazrat Abu Saeed bin Abdul Kareem se Aap ne Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Abu Muhammad Ja’afar se Aap ne Tafseer ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Shaikh Abu Saeed Mubarak al-Makhzumi aur Hazrat Shaikh Abul Khair Hammaad ibn Muslim al-Dabbas se Aap ne Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
Hazrat Abu Zakariya Yahyā Tabrizi se bhi Aap ne ta’aleem haasil ki.
************
Ta’aleem mukammal karne ke baad Aap Baghdad chhodkar Sehra me chale gaye aur ibaadat wa riyaazat aur mujaahida me 15 saal guzaare.
509 Hijri (1116 A.D.) me Aap ne pehla Hajj ada farmaaya.
Phir jab Makka mukarrama se Madeena munawwara tahreef laaye to ba-adab arz kiya “Aye Naanajaan! Aaj tak to main apni Rooh ko aap ki baargaah me Salaat o Salaam pesh karne ke liye bheja karta tha. Aaj tak meri rooh Aap ke darbaar me haazir hoti thi aur me Salaat o Salaam pesh karti thi. Lekin Aye ALLĀH ke pyaare Rasool sallallāhu alaihi wa aalihi wa sallam! Aaj Aap ka nawaase Abdul Qaadir apne jism aur rooh ke saath haazir hai aur ye tamanna lekar ke aaya hai ke Aap ke mubarak haatho ka bosa le sake.”
Aap ka itna arz karna tha ke Huzoor Habeebe khuda Sarware kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ke dono nooraani haath mubarak qabr shareef se baahar aaye. Sarkaar Ghauṡe aazam ne musaafa kiya aur haatho ko bosa diya.
***************** (TO BE CONTINUE)
(MOHSIN RAZVI)
1 comment:
Ayeee Hyeee ✨🌹✨
Subhan'Allah ✨🌹✨
Post a Comment