************
Aap Sayyed ul Auliya hain ya’ni Tamaam Auliya Allāh ke Sardaar aur Peer e Peeraan hain.
Aap ne Baghdad me jab farmaaya ke ‘Qadami haazee hi ala raqabati kulli Waliyillāh ya’ani Mera qadam tamaam Auliya Allāh ki gardano par hai’ tab tamaam Auliya Allāh ne tasleem kiya.
Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi ne farmaaya ‘Aye Peeran e peer! Aap ka qadam mubarak meri gardan par hi nahi, mere sar par hai.’
************
Aap ko ‘Ghauṡiyat e kubra’ ka martaba mila hai.
Aap se pehle yeh martaba Hazrat Imaam Sayyed Hasan al-Askari radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas tha aur Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilaai tak yeh maqaam un ke paas raha aur phir Hazrat Ghauṡ e aazam ko mila.
Aur aap ke baad Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Mahdi radiy-Allāhu ta’ala anhu ko yeh milega aur tab tak Ghauṡ e aazam ki Ghauṡiyat e kubra ka zamaana rahega.
************
Aap 5wi sadi ke Mujaddid hain.
Aap ko ‘Mohiy-ud-deen’ ka laqab mila hai ya’ani Deen ko zinda karne waala.
Huzoor Sayyed-ul-Ambiya Rasool-e-Aazam sallallāhu alaihi wa sallam ne har takleef bardaasht karke deen e islaam ki bunyaad qaa'im ki aur Aap ke ashaaba ne beshumaar qurbaaniya dekar Islaam ki hifaazat ki aur Karbala me Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Aap ke wafaadaar saathiyo ne islaam ko taaza kiya. Us ke baad har zamaane me aa'imma ne islaam ko aur mazboot kiya.
Aur phir jab zaroorat pesh aai tab ALLĀH ta’ala ne Ghauṡ-ul-aazam ‘Mohiy-ud-deen’ Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ko bhejkar deen e Islaam ko phir se zinda kar diya.
Aap ne ‘Mo'atazila’ firqe ka muqaabala kiya. Is firqe ka bad-aqeeda tha ke “Qur'an majeed makhlooq hai.” Aap ne bataaya ke “Qur'an majeed ALLĀH ka kalaam hai.”
Isi tarah bahot saari Bid'aten phail gai thi. Jin ko Aap ne apni ta’aleem ke zariye rad kiya aur logo ko Sunnat wa Shariat ki ta’aleem di.
Aap ke shaagird Shaikh Abdullāh Zubai farmaate hain ke “Ek martaba Hazrate Ghauṡe aazam radiy-Allāhu ta’ala anhu ki taqreer se muta’aṡṡir hokar 1 laakh se zyada faasiq o gumraah ne tauba ki aur hazaaro yahoodi aur eisaai mazhabe islaam me daakhil hue.”
*******************
Shaikh Umar Kimani bayaan farmaate hain ki
“Ek martaba Hazrate Ghauṡe aazam radiy-Allāhu ta’ala anhu ki khidmate aqdas me 13 logo ne Islaam qubool kiya.
Musalman hone ke baad un logo ne bayaan kiya ke Hum log Arab ke Eisaai the. Hum ne Islaam qubool karne ka iraada kiya aur ye soch rahe the ki kisi marde kaamil ke mubarak haath par Islaam qubool karen.
Isi dauraan ek hum ne Ghaibi aawaaz suni ke Tum log Baghdad jaao aur Shaikh Abdul Qaadir Jilani ke Mubarak haatho par Islaam qubool karo. Kyun ki jis qadr eimaan Shaikh Abdul Qaadir Jilani ki barkat se tumhare dilo me ghar karega us qadr eimaan is zamaane me kisi dusri jagah se na-mumkin hai.
Chunaanche hum log usi ghaibi farmaan par Baghdad aaye aur Alhamdulillāh humare seene Noore hidaayat se roshan ho gaye.”
************
Aap irshaad farmaate hain
“Agar tum kisi ko hawa me udta dekho,
Lekin wo Shariat ka paaband na ho, to wo Istidaraaj hai, Wilaayat nahi.”
************
Ek baar Aap jangal me mujaahida me masroof the aur Aap ko bahot pyaas lagi. Achanak rahmate ilāhi se ghaib se ek baadal aaya aur Aap ke upar baarish barasne lagi. Aap ne us paani piya. Is ke baad Aap ne dekha ke ek aur baadal zaahir hua aur us me se itni roshni zaahir hui ke aasmaan tak phail gai. Us me se ek surat zaahir hui aur us ne kaha “Aye Abdul Qaadir! Main tumhara khaaliq aur Rab hu. Maine tumhare liye sab cheez halaal kar di hai.” Aap ne foran ta’aooz (Aoozu billāh) padha. Us ke saath hi foran woh roshni gaa'ib ho gai aur andhera ho gaya. Aur ek aawaaz aai “Aye Abdul Qaadir! Tumhare ilm ne tumhe bacha liya. Warna maine bahot saare auliya ko is tarah gumraah kar diya hai.” Aap ne farmaaya “Beshak yeh mere Rab ka karam hai, jis ne mujhe tum se bacha liya.”
Aap ke saahabzaade Shaikh Sayyed Zia-ud-deen Moosā ne is baat ko sunkar Aap se arz kiya “Aap ne yeh kaise ma'aloom kiya ki woh shaitaan hai?” Aap ne farmaaya “Kyun ki us ne mujh se kaha ki jo haraam hai wo bhi mere liye halaal kar diya. Aur ALLĀH ta’ala kabhi aisa galat hukm nahi farmaata.”
************
15 saal tak Aap raat bhar me ek Qur'ān majeed mukammal karte rahe.
40 saal tak Aap ne Ishaa ke wuzu se Fajr ki namaaz ada ki.
(MOHSIN RAZVI)
No comments:
Post a Comment