Hazrat Shaikh Abu Madyan, Shoaib Ansaari al-Maghribi rahmatullāhi alaihi :Aap ki wilaadat 520 Hijri (1126 A.D.) me Seville ke qareeb Cantillana (Andalusia) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Husain al-Ansaari hai.
Aap ka pariwaar bahot ghareeb tha.
Aap bachpan me hi yateem ho gaye.
****************
Bade hokar Aap ne kapde bunne ka kaam sikhkar shuru kiya.
Magar Aap ke bhai Aap ko jaanwar charaane bhejte the. Aap kisi ko tilaawate Qur'ān karte sunte to Aap bahot ranj hota ke kaash main bhi Qur'ān ki tilaawat karna jaanta hota.
Ek martaba Aap ne waha se bhaagne koshish ki magar aap ke bhai ne Aap ko pakad liya aur apna neja aage karke kaha “Agar phir se tum ne bhaagne ki koshish ki to main tumhe jaan se maar dunga.” Kuchh din baad Aap ne dobaara raat ko bhaagne ki koshish ki magar subah hone se pehle aap ke bhai ne Aap ko pakad liya aur talwaar se Aap par hamla kiya. Aap ne khud ko bachaane ke liye ek lakdi uthaai. Jaise hi talwaar us lakdi se takraai to wo talwaar toot gai aur ALLĀH ta’ala ke fazl se Aap mehfooz rahe. Yeh dekhkar Aap ke bhai ne Aap ko chhod diya.
****************
Phir Aap Marrakech gaye aur waha lashkar me shaamil hue aur shaher ki hifaazat ka kaam karne lage.
Magar Aap ko ilm ki aisi talab thi ke Aap ne Qur'ān majeed ki aur deegar bunyaadi ta’aleem haasil ki.
Phir Aap Fes aaye aur Hazrat Abu Yaaza Yalnoor, Hazrat Abul Hasan Ali ibn Harzihim aur Hazrat Abu Abdullāh al-Daqqaq rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Muhammad al-Ghazaali rahmatullāhi alaihi ki kitaabo ki ta’aleem haasil ki.
Aap Hazrat Shaikh Ali ibn Harzihim rahmatullāhi alaihi ki khidmat me rehkar ibaadat wa riyaazat karte rahe.
Phir Aap safar karke Makka mukarrama tashreef laaye. Yaha Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Sayyed Shaikh Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki sohbat me rehkar faiz wa ta’aleem haasil ki.
****************
Phir Aap Bejaia (Algeria) tashreef laaye. Aap ne ek khaanqaah ‘Rabitat az-Zayyat’ ta’ameer ki aur ibaadat wa riyaazat karte rahe aur logo ta’aleem wa tadrees karte rahe. Log Aap ki mehfil me wa’az aur taqreer sunne ke liye aur Aap ki baargaah se faiz haasil karne aane lage.
****************
Jab Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Baghdad me farmaaya ke “Qadami haazee hi ala raqabati kulli Waliyillāh ya’ni Mera qadam tamaam Auliya Allāh ki gardano par hai” tab Aap ne Dayaare Maghrib me apni gardan jhuka li aur kehne lage ke “Ilahi! Main tujh ko is baat par gawaah karta hu ke maine un ka qaul suna hai aur un ki itaa’at karta hu.”
****************
Aap Ghauṡ-e-zamaan, Aarif billāh, aur Imaam-ul-Asfiya the.
****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain ke
(1) Soofi ke liye har waqt sirf Mujaahida aur Muraaqaba hi zaroori nahi balke logo se ta’alluq rakhna aur un ko ta’aleem dena bhi zaroori hai.
(2) Nafsaani khwaahisaat aur takabbur roohaani kaamyaabi me rookaawat banti hai. Is ke khilaaf sab se muṡir hathiyaar Nafs ko bhuka rakhna hai. Chunaanche Roza ke zariye nafs kamzor karke kaamyaabi haasil karo.
(3) Gunaahgaar ki Nadaamat Ibaadat guzaar ke Ghuroor se behtar hai.
(4) Insaan ka qalb jab ek simt rooju karta hai to us ke liye dusri tamaam simt par parda ho jaata hai.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Bidaayt-ul-Mureedeen
(2) Uns-ul-Waheed
(3) Tuhfat-ul-Areeb
(4) Deewaan.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek roz Aap dariya ke kinaare par jaa rahe the ke Firangi kaafiro ke giroh ne Aap ko giraftaar kar liya aur ek kashti me bithane lage. Us kashti me kuchh aur Musalman bhi qaidi the. Jab Aap kashti par baithe to kaafiro ne jaane ke liye kashti ke baadhaan (rassiya) khole.
Un logo ne bahot koshish ki magar kashti apni jagah se zarra bhar bhi na hil saki jab ke hawa bahot tez thi. Wo Aap ka martaba jaan gaye. Unho ne Aap ko kashti se utaara aur jaane ke liye kaha. Aap ne farmaaya ke “Jab tak tum log in sab musalmano ko rihaa nahi karoge main hargiz kashti se baahar nahi jaaunga.”
Aakhir kaar un kaafiro ne sab Musalmano ko chhod diya. Us ke baad kashti chalne lagi.
(2) Ek din Aap samundar ke kinaare baithkar wuzu kar rahe the. Aap ki angoothi paani me gir gai. Aap ne bargaahe Rab me dua ki ke “Ya Rab! Meri Angoothi mujhe waapas de de.”
Foran samundar se ek machhli apne munh me Aap ki angoothi lekar zaahir hui. Aap ne us se apni angoothi le li aur machhli waapas paani me chali gai.
****************
Aap Hazrat Shaikh Ali ibn Harzihim rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu, Hazrat Shaikh Abu Saeed Andalusi rahmatullāhi alaihi, Abu Ayyoob ibn Abi Sa'eed al-Sanhaji al-Armuzi, Hazrat Shaikh Abu Abdullāh al-Daqqaq rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap se ‘Maghribi’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Abu Mohammad Saalih al-Majiri rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Mohammad ibn Qaasim al-Tameemi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Abdur Rahmān Attaar az-Zayyaat al-Madani rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Abu Abdullāh Mohammad ibn Harzihim al-Quraishi rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Abdur Razzaaq al-Jazuli rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Malik Baqqiwi Rifa'i rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Yousuf al-Qumi rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Sayyed Jamaal-ud-deen Muhammad bin Ali Ba-Alawi rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ki shohrat badhne lagi to Al-Mohad khalifa Ya’aqoob al-Mansoor ne Aap ko Marrakech apne darbaar me bulaaya. Raaste me Aap beemaar hue aur Yasser nadi ke qareeb inteqaal farmaaya.
****************
Aap ka wisaal 28 Moharram 594 Hijri (10 December 1197 A.D.) me hua.
Aap ka mazaar al-Ubbad, Tlemcen (Algeria) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Abu Madyan, Shoaib al-Maghribi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
(MOHSIN RAZVI)
No comments:
Post a Comment