Sunday, 29 November 2020

Ghaus E Aazam Ki Zindagani Mubaraka (Part 3)


520 Hijri (1126 A.D.) me Aap ne Sunnat e Rasool ada karne ke liye nikaah kiya.
*****************
521 Hijri (1127 A.D.) me Hazrat Abu Saeed Mubarak Makhzumi ne apni jagah par Aap ko Sadr-ul-mudarris banaaya.
***************
Aap farmaate hain ki :
“Ek roz Zohar se kuchh pehle Maine jaagte me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat ki. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Beta! Tum wa’az kyun nahi karte?’ Maine arz kiya ‘Huzoor! Main Baghdaad me bade bade Fuqaha ke saamne bol nahi sakta.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Apna munh kholo.’ Maine apna munh khola to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne mere munh me apna Luaab-e-dahan 7 martaba daala aur farmaaya ‘Ab bilaa khauf wa’az kehna shuru kar do.’
Chunaanche main namaaze Zohar ke baad wa’az ke liye baitha to log khud ba khud mera wa’az sunne ke liye baith gaye aur aahista aahista bahot log jama ho gaye. Phir dekha ke Hazrat Maula Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu mere saamne tashreef farma hain aur mujh se farmaane lage ‘Beta! Ab wa’az kyun nahi karte?’ Maine arz kiya ‘Huzoor! Itne bade majme me bolne ki himmat nahi hoti.’ Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ne farmaaya ‘Achha, apna munh kholo.’ Chunaanche maine apna munh khola to Hazrat Ali ne 6 martaba apna Luaab-e-dahan daala. Maine arz ki ‘Huzoor! 6 martaba kyun?’ To unho ne farmaaya ‘Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke adab ki wajah se. Huzoor ne 7 martaba luaab-e-dahan daala aur main Huzoor ki barabari kise kar sakta hu?’
Aap farmate hain “Phir saare hijaab uth gaye aur main khub wa’az kehne laga.”
*******************
Aap ne madrasa me talba ko ta’aleem wa tadrees shuru ki aur Islaam ki isha’at karna shuru kiya aur wa’az aur naseehat karte rahe.
Jab madrasa me talba ki ta’adaad badhne lagi to 528 Hijri me Aap ne aas paas ke makaan khareed liye aur unhe madrasa me saamil karke madrasa ki naye sire se ta’ameer ki.
Aap ke ta’aleemaat se aur karaamat dekhkar beshumaar logo ne Islaam apnaaya.
Aap ne apne shaagirdo ko jama’at banaakar Islaam ki isha’at ke liye dusre mulko me bhejna shuru kiya.
Aap ke shaagirdo me Ibrāheem bin Bishr, Mohammad bin Ahmad Bakhtiar, Abdullāh al-Sa’adi, Raafe bin Ahmad, aur Abu Mohammad bin Abdul Husain mash'hoor hain.
********************
Aap ko ALLĀH ta’ala ne aisa khaas ilm ata farmaaya tha ke har mas'ale ka sahi hal aasaani se ata farmaate the aur bahot saare mauqe par apne ilm se logo ko faa'ida pahunchaaya.
Aap Hambali mazhab ke muqallid the. Magar har mazhab ke mutaabiq sahi Fatawa dete the.
Ek martaba mulke Ajam se Aap ke paas ek mas'ala pesh kiya gaya jis ka jawaab Iraq ke koi bhi Mufti ne us sawaal ka jawab nahi de paaye the.
Sawaal yeh tha ki “Ek shakhs ne mannat maani ki woh koi aisi ibaadat karega jis me us ibaadat ke waqt us ke saath puri kaa'inaat me koi dusra shareek na hoga aur agar woh aisi ibaadat na kar sake to us ki Biwi ko 3 Talaaq. Aisi haalat me woh shakhs kaun si ibaadat kare jis me us ke saath koi shareek na ho?”
Tamaam ulama-e-kiraam is sawaal ka jawaab dene me nakaam rahe. Jab yeh sawaal Sarkaar Ghauṡe paak radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas aaya to Aap ne foran yeh Fatwa diya ki “Woh shakhs Makkah moazzama chala jaaye aur Mataaf [Tawaaf karne ki jagah] us ke liye khaali kar diya jaaye aur woh Ka’aba shareef ka Tawaaf kare to us ki mannat puri ho jaayegi.”
Yeh jawaab sunkar bade bade ulama hairaan reh gaye kyun ki sirf yehi ek soorat thi jis me woh shakhs tanha ibaadat kar sakta tha.
                                        (To Be Continue)
                                        (MOHSIN RAZVI)